हर रिश्ता मतलब का होता है
चाहे हो दोस्ती, प्यार या रिश्तेदार-
Kabhi katrata hu ik lafz kehne se
Kabhi keh deta hu jyada hi
Me pyar karu tujhse jitna
Kya kar sakega tu aadha bhi-
Bharosa koi or tode Saza koi or bhugat ta h
Wafa jo jo kare Dhokha vahi bhugat ta h
Pyar jo jo kare Har pal vahi tarasta h
Na karna is zamane me kisi se aashiqui
Ishq me aashiq pagal hota h
Bepanah rota h Bepanah hasta h-
Vo kisi ke gum me thi
Usne usko bhulane ka Mujhe zariya banaya
Kashti uski doobne ko thi Paar mene dariya karaya
Vo jab sambhale to parinam ye hua
Vo dheere dheere nikharti gayi
Me dheere dheere bikharta gaya-
Mere andar ik bavandar chal raha h
Tum kya kya janoge
Chehra ek h Jazbaat hazar
Tum kya hi pehchanoge-
Ek baar firse hui vohi dastaan
Tum mere nazdeek aaye Mujhe gale lagaya
Or fir kisi pakshi ki tarah furrr ho gaye-
Me sahara banne nahi Sath dene aaya tha
Girte tumko haath dene aaya tha
Tum uthe sambhale or chal pade
Me pagal aashiq apne jazbaat dene aaya tha-
Ye to hume pata hi tha
Ki aap aaye hi jaane ke liye ho
Dil behalna tha Behal gaya aapka
Hume ye bhi pata tha
Ki aap ruke ek bahane ke liye ho-
Koshishe kamyab hoti h Vaade nahi
Toot jaye jo pathar se
Mere kaanch jese irade nahi
Girna sambhalna ladna sab seekha h mene
Poore karne h khwab saare Chorne ye aadhe nahi-