26 DEC 2019 AT 13:34

Ye gay ya lesbian hona
bhi kya hota hoga
Kya gujrti hogi jb jmana
un pr hsta hoga

Gali gali mjak bnaya jata hai
Trh trh k namo se bulaya jata hai

Auro ki bat kya kru khud b to vesa hu
Likhta hu bus beth k kon sa msiha hu

Ye hmare smaaj ka wo hissa h
Jise hm svikarte nhi h

Apne ghr me tirskarte nhi h

Kyunki hm to apne se bda
Kisi ko mante nhi hai

Wo bhi hm jese insaan hai
Jo ki hm jante nhi hai



- Kant@07