Raat akeli roshan taare
Hum tum tanha aur ye chand
Badal ka shringar racha ke
Dekho kitna nikhre chaand
Tum bhi dekho mai bhi dekhu
Tamashe sa ye bikhre chaand
Aaj andhera zyada hoga
Ghar se kaise nikle chaand
Sookhe patte aansu roke
Oas pde ya utre chaand
Hui khata jo humne poocha
Tumhare hai aur kitne chaand-
pavitra sa shareer mei.
mei hi veeran antt hu,
paapi bhi hu par sant ... read more
Fir hua na mayassar koi charag ghar jalane ko,
Eak khaak-zaade khawab ne dil hi bhuja diya.-
In the end,
we all are just shattered
stars,
roaming alone in this galaxy,
trying to escape from
heartbreaks;
running away from
the doorsteps of love,
until we crash somewhere and
feel complete again.
-
Aise umeed deta tha jaise khwab pirone wala tha,
Mai kabhi samji hi nahi wo shaks khilone wala tha
Ghazlein likh likh kar wo behlata tha apne hi dil ko,
Mai aise khush hoti thi jaise wo mera hone wala tha.
-
Teri yaadon ke qāfile se ābād huuñ maiñ,
Tu jatata nahi magar tuje yaad huuñ maiñ,
Mehfil maiñ bhut gaur se sunta hai mujko,
Jaise tere hijr se akela, barbād huuñ maiñ-
Maine kabhi nahi dekha uski aankh mai eak aansu,
Wo baap tha, ghamon ka sailaab pii jaya karta tha.-
Tuje chahne ki talab mai mili thokarein bass dil ko,
Mera Ishq itna tarasha gya ki patthar ho gya.
-
Pehle guzar jaati thi shaam chehakti galiyon ki,
Ab raat tak koi nikalta nhi sannate ke siwa.-
Kadam chote the uske par zimmedari badi sambhali thi,
Wo baccha dhoop mai jala nahi,jiski jeb bilkul khaali thi-
Tera naam lene se pehle jo mere lab sharmate hai,
Ishq aur kuch nahi bass ye choti choti baatein hai.-