kamini kaushal  
11 Followers · 5 Following

Joined 2 April 2017


Joined 2 April 2017
18 DEC 2021 AT 13:21

Kabhi labon ko mohabbat se chhu Jane do,
Sharab aur Nasha bhul se jaoge,
Bina piye he jhumte hue
Aaghosh me aoge,
Kya hota hai Nasha tab samajh paoge........
Yaad ni rahega tumhe tab kaun ho tum kaha ho tum,
Bas sath hamare chahoge...

-


17 DEC 2021 AT 16:15

थोड़ी चाल चलाकिया मुझे भी सीखा ऐ जिंदगी,
तुझ जीने के लिए बहुत जरुरी है.....

-


17 DEC 2021 AT 15:53

Ishq tha tumse,
Ishq hai tumse,
Aur hamesha rahega,
Ye wo haseen gunah hai jo shayad meine he tumse kiya tha
Fark sirf itna hai ,
Tu mere ishq ko kabhi samajh he ni paya
Calendar ki tarah ishq bi badal diya...

-


17 DEC 2021 AT 15:45

मेरी जिंदगी खुलि किताब की तरह थी,
जिस्के हर पन्ने में तम्हारी यादें थी
तुमने उन यादों के पन्नो को,
बेरेहमी से फाड़ दिया

-


21 MAR 2021 AT 17:07

Pas aake tmse dur na ho paungi,
Chaha bas tmko aur tmko he chahungi,
Narazgi tmhari humko tmse dur na kar payegi,
Har din mohobbat tmse bas aur bas aur badhti jayegi,
Kabhi na bhul paoge tum apni jaan ko
Kabhi na bhula payegi ye jaan apne janu ko,
Jindagi ka bahut bura waqt chal rha hai hamara,
Lekin ye waqt pyar hamara aur badha ke jayega.........

-


21 MAR 2021 AT 16:53

Khud ko kho diya tumko pate pate
Milta kya hai tmko itna tadpake
Bhool gye tum sare kasame wade
Khud ko kho diya tumko pate pate

-


21 MAR 2021 AT 16:51

Koi tumko pyar kare kadra karo uski
Na pareshan karo itna ki tum kisi ko jawab na de sako
Bahut mushkil se pyar karne wale milte hai
Mat karo dukhi kisi ko

-


4 MAR 2020 AT 23:18

Thak gyi hun tera intzar karte karte aye jindagi, kab layegi bahar aye jindagi, gujar gya hai bahut Waqt aye jindagi, jujhti hun akele aur sunnewala koi ni hai aye jindagi, kuch to bata kuch to de salah aye jindagi, kaise jiyo tujhe aye jindagi, bas marke jeena chahti hun aye jindagi kuch to de salah aye jindagi

-


24 MAR 2019 AT 2:10

Ma papa ki bitiya hui parayi,
Shadi ho gyi hui vidai,
Jo thi papa ki bitiya rani,
Ho gyi sasural ki naukrani,
Rehti thi jaha aram se wo
Karti hai ab Sara kam,
Rishte jimmedari nibhate nibhate
Nahi milta ab usko aram
Office ghar aur bacho me nikalta ab Sara samay,Tab bi ghr akar karna padta usko kam, Beta aur bahu me fark hai kitna samjha deti hai ab saas,
Ankh me asun bhar sisak sisak k rah jati hai,,Yad karti hai apna ghar jaha ki wo thi rani, Koi na sunnewala hai aj koi na samjhnewala hai, ma papa ki yad hai ab aur asuon ki dhara hai
Ma papa ki bitiya hui parayi shadi ho gyi hui vidai......

-


24 MAR 2019 AT 1:51

Tujhe tujhse bi jyada jana hai meine,
Par tune nahi pehchana hai mujhe,
Har pariksha me khari utari hun lekin,
Tune kabhi na mana hai muje,
Tarasti rahi tere pyar ko mei lekin,
Tune hmesha rulaya hai mujhe,
Tere har rishte ko nibhaya hai meine,
Tere sath ko pyar ko ahsas ka intzar kiya hai meine lekin,
Khud ko hmesha he akela paya hai meine,
Kabhi kaha tha tune mera hath pakad aur sath chal mere tere dukh mere mera sukh tera lekin,
Tune kabhi na nibhaya hmesha he akela choda hai muje,
Tune kabi na mana hai mujhe kabhi na jana hai

-


Fetching kamini kaushal Quotes