Rasta kis se puchte ho bas saans ke us paar hi manzil hai
Kyun masroof yahan, ye to khatam hone wali mehfil hai
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
South Indian, Kannadiga!!
Civil Engineer👷♀️!
Member of Girls Islamic Organizat... read more
بہ شعور وہی ہیں جو سمجھ لیں اِس بات کی گہرائی
سیاست بھی ہے اِک شعبۂ دین سن لے او دینی شیدائی
سمجھ کبھی آۓ گی آفتاب تمہیں اِس کلام کی؟
کہ گراہ کُھل نہ سکی تم پر سیاست اور اسلام کی
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
Dil me kuch rakha to lafzon me koi aur fasana hai
Ama Has bol kar milta hai ye aisa hi zamana hai
Izzat hoti thi pehle ilm ki bina par mere dost
Aaj jahan hai usika jiske pas paison ka aashiyana hai
Alag jaga hi banali hai un logon ne aaj yahan
Jin ki zuban pe rakha baton ka khazana hai
Haan Sukoon rakha hai tere ghar me khuda ne laikin
Mayassar nahi wo aaj tujhe ye kaisa tera gharana hai
Insan ki sacchhi kahani tujhe sunayi hai Aaftab ne
Ye likhi gazal to bas yehi batane ka bahana hai
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
لگ رہا ہے آفتاب کے پھر سے دور دوہرایا جاۓ گا
کے ان کے ہاتھوں ہی اسلام ہر گھر پہنچایا جائے گا
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
Chain kyun nahi mayassar tumhe amn se jeene me
Kyun khoon kharabe chahe itna zehr hai seene me
Yaad karo kabhi kehte the hum ek dusre ko bhai
Badi mushkil hai itni kadwahat ba-asani peene me
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
Hum Khudi ke liye hi sari zindagi guzar aaye
Puchte ho kya kiska aur kitna sanwar aaye?
Milte jhulte hain hamesha sabhi se laikin,
Kyun kabhi Mehdoodiyat se hi qarar aaye?
Khudgarzi ke dour me farishte kahan janab
Mushkil hai ke insaan aaj insaan nazar aaye!
Tasneem sa maqam tera pasti ko aagaya kyun
Yehi batane jante ho kitne mousam-e-bahar aaye?
-~Aaftab
@Kalaam-e-Aaftab
-
Rehnumayi ki zaroorat hai har fard-e-insan ko
Qaak hona hai yahan us ke liye har jaan ko
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
Samandar ke kinare najane kya sawal karte hain
kabhi ye qamosh hain to kai baar bawal karte hain
Tair kar inhe paar to sabhi karlete hain magar
Jo inhe cheer rasta banalen wo kamal karte hain
Us par bharosa rakhne walon ko kya zawal ka dar
Wo dushman ko apni aankon se hi behal karte hain
Zulm dekh qamoosh hum baithte kab hain janab
Qalam uthate hain to dekho unka kya haal karte hain
Desh ko aazadi mile barson hogaye Aaftab laikin
Aaj bhi Hakim hattyare ban logon ko halal karte hai
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
Kyun Apni galti ki tujh me nadamat bhi nahi hai
Tu insan magar tujh me sharafat bhi nahi hai
Kya wajha hai ke duniya bohat pasand hai tujhe
Ke khuda ki is par ek nazr-e-inayat bhi nahi hai
Han qaleefa banaya hai khuda ne tujhe zameen ka
Aafas ke tujh me salahiyat-e-imamat bhi nahi hai
Qamiyon se bhari zaat teri khudpasandi me chur
Is wehm se nikalsake tu aisi teri fitrat bhi nahi hai
Zimmedari utni hi milegi jitni sambhal sako Aaftab
Wo Zulm karke aazmaye, ye uski sunnat bhi nahi hai
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-
Kyun Apni galti ki tujh me nadamat bhi nahi hai
Tu insan magar tujh me sharafat bhi nahi hai
Kya wajha hai ke duniya bohat pasand hai tujhe
Ke khuda ki is par ek nazr-e-inayat bhi nahi hai
-~Aaftab
@_Kalaam-e-Aaftab-