Pehle farishto se aadam ko sajda karata hai tu
Fir unhi farishto se aadam ka hisaab leta hai tu-
read atleast 5 qoutes
fark nhi padta aap FOLLOW kare ya na kare... read more
Bure waqt me kaandhe par rakha gaya tasalli ka ek hath
Janaze ko sahara dene wale hazaro ki bheed se achha hai-
Gar teri dua shamil e haal ho jaye
Bakhuda aazmaisho ke din khairiyat se khatm ho jaye-
Kaifee, kis bharam hai ye saare tere apne hai
tootne se pehle tak gullak bhi yahi samajhta hai, saare paise uske hai-
Bazar e ishq me girawat aai na hoti
gar tere mere beech yu'n ladai na hoti
Yahin tak is jhagde ko na samjho, meri jaan
Mehshar ke roz is par sunwai hogi-
Mai jiska lamha e haqiqat tha wo shakhs
fizool waqt samajh kar guzarta raha mujhko-
ye kya kiya ke berukhi ikhtiyaar kar liya aise
ke shikayat karne ka bhi haq chheen liya ho jaise-
Zindagi uljhaye rakhne wali cheeze
Zaroorate, zimmedariya aur khwahishe-
ana kehti hai - bas kar, chhod de, bhool ja
dil kehta hai - pyaar kar, ishq kar, mohabbat kiye ja-