Zindagii meri ek adhoori si kitaab hogayi...
Khushiyo ka intezaar hai aur kashmakashein behisaab hogayi....-
pehle tujhse ladh raha tha,
Ab teri yaadon se jung jaari hai.....-
Sard hai yeh sardi bhi.....
Sard hai tera rawaiyaa bhi.....
Maine tujhe paane ki aarzu rakhi....
Tune mujhe khone ki vajah chuni...
Sard hai yeh sardi bhi....
Sard hai tera rawaiyaa bhi.....-
waqt se har din ladh raha hu....
Mann nahi hai, phir bhi aage badh raha hu....
-
Lehro se yeh dil bola,
Meri dhadhkano me bhi uchaal bahut acha hai.....
Kinaaro se lahoo bola...
Ubaal mera bhi kuch sachha hai.....
Lehro se yeh dil bola.....-
Waqt ki aazmaish me, hum kuch yu badal gaye....
Girte, padhte shayad hum bhi sambhal gaye....
Waqt ki aazmaish me, hum kuch yu badal gaye....-
Sama bhi tera, sitam bhi tera....
Dil bhi tera, sanam bhi tera.....
Sab kuch tera hojaye , bus tu mera hojaye.....-
Yakeen tha Tum kabhi nahi jaaoge....
Bhool gaya, yakeen mera tha humara nahi.....-
Kya kisi pe aitbaar karein,
kyu khod ko beizzat har baar karein, ishq, mubbat sab fareb hai yaaron,
kyu ab bewajah kisi se pyaar karein.....
-
Sab mere par mera na koi....
Main sabka, par kisi ka main nahi.....
Bus yahi hai zindagii, isse badhkar kuch nahi....-