Koi puch raha tha mujhse kya hai sukoon ka paymana
Mujhe yaad aa raha tha tere kandhe pe mera sar ko rakhna-
Suna tha k har cheez hadh me achi hoti hai
Phir ye behadh pyaar ne tou le doobna hi tha-
Khayaalo me tumse baatien hoti rehti thi
K achanak aaj tumhari awaaz yaad nahi aa rahi
Khayaalo ko simatne ki koshish jaari hi thi
Par najane kyun maut se pehle qayamat nazar aa rahi-
Thoda sa jeene k liye kitna marna padta hai
Kya kya insaani wajood chahta hai
Koi ameer jeena koi khush jeena
Tou koi kisi k sath jeena chahta hai
Koi jeet kar aur jeeta jata hai
Tou koi haar kar bhi jeeta rehta hai
Khwahishien azmaishein zarooratien
Ufff
Thoda sa jeene k liye kitna marna padta hai— % &-
Nahi hotey honge mohabbat me koi faraiz
Maine phir bhi wafa ko farz ki tarah ata'a kiya-
Hosh aksar rehta nahi, haal kuch yun hoagya hai
Najane kab hath uthe aur dua me tera naam agaya hai-
Gazab hai momin bhi mohabbat bhi
Kisi ne khuda se ishq kiya
Kisi ne ishq ko khuda kiya
Hai safar bhi yahi aur manzil bhi
Kisi ne rastey badal diye
Tou kisi ne rasta hi badal liya-
Rahi mohabbat chaar din zindagi me
Raha chaar din ka asar zindagi bhar-
Do pal thi wo rahat-e-visal bhi
Mohabbat bhi toofan thi
Tamanna rahi k laut aaye Mohabbat bhi toofan bhi
Iss vehshat ki aas me ek umr tamaam rakhi thi-
Bohot bechain honge ab
Wo jo kabhi bechain kardiya karte the
Ab raato ko rotein honge
Jo mere bheege takiyo ki wajah hua karte the-