Wasl-e-mubarak de rahe hain sab yaar,
Mai bohut aage dekhta hun, akeela hone waal hun,
Dekhta hun ki kis tarah yaar juda hongae,
Dekhta hun, kis tarah husn khaak hoga,
Dekhta hun, kis tarah ye pal beet jayenge,
Dekhta hun, kis tarah tanha sukoon hoga,
Dekhta hun, rab ka kun hoote hue,
Dekhta hun, kaise wo sada de raha hai muje,
Dekhta hun, aaj khud ko nafarmaan hote hue,
Dekhta hun, kal jab sab bhul jayenge,
Dekhta hun, wo din, mai kahin dur khud ko,
Aaisi jagah jo sab pursukoon,
Dekhta hun, quraan ko har roz apne kamre mai,
Dekhta hun, naya din doh kadam juda khuda se,
Dekhta hun, har roz jainamaz bichayi hui,
Dekhta hun, khud ko nafarmaani karte hue,
Dekhta hun, apni khwahishe puri karne ke zor mai,
Dekhta hun, azaan k waqt khud ko gumrah hote hue,
Dekhta hun, khud ko khud se dur hote hue,
Dekhta hun, khud ko kisi anjaan shaks ko zabardasti dil mai basate hue,
Dekhta hun, haaai meri barbadi, hashar mai kehte hue,
Dekhta hun, qabar mai apne aap ko bebas paate hue,
Dekhta hun, har roz khud ko gunnah karte hue, dekhta hun mai mere doost dekhta hun bohut aage,
Allah hum sab ko hidayat de aur naiki ke raaste par chalne ki taufeeq ata farmaye, Aameen…🥺
-