Boondo se saaz o nagma , khanak raha hai Har zara mehak raha hai , har pata chehak raha hai Bekhudi yun iss qadar ki barf e qalb toh jhal raha hai Azmayish baarish ki hai, boondo ki, aag ki hai ? Ki Shola jhal uthtay hai , jab chingariya milti hai !
Daag o bhare jahan mai , be daag koun hai Kehta hai agar koi, woh magroor toh hai Subah ki sard aahaton se , neend toh khulti nai Raat bhar hai jo na soya, woh gamgeen toh hai Mere khud shikasta haal pe yeh sawal kru toh kaise Jahan bhar ka saaman, ek arzoo toh hai !!!
Yu sach kahu toh kya sach kahu Hakumranu ka azal, ya mahkoom k gunnah kahu Sabr, azmayish, khoon e jigar raat o din Yeh lafz saja saja k darr darr k baat kahu Hume akhir samna hai unn daanishwaru se Jinhey saza mili, phir saza mili, yun sazawar kahu..
Ranj o faraghat k har safar mai be yaar o madagaar Khud zindagi k safar mai be yaar o madadgaar Maut se kabhi shikwa kabhi wiladat kabhi sultanat Lau he qalm ka bharam, toh kabhi be yaar o madadgaar..
Seekh gaye hum b darpesh masayil ka azaal Woh jo kehtey thai logh chehre ko tabasum Iss saari umarr ne kaat li yunhi sari nishist Idhar ki awaaz ko sunnkr , samj aaya udhar k taranum..
Ahle mehfil mai begana koun hai Iss aabad basti mai veeran koun hai Ilm k maidan mai dodh k bhi nahi hasil Mere muluk mai yeh ahl e kaar koun hai
Adab joh sikha gaya woh abad daar koun hai Ahd e wafa karne waale yeh wafadar koun hai Aaj b yahan chalta hai hawaon ka naam Mere dastaan mai yeh shabistan koun hai
Sau Dard Likhe thai Sau aur Fasane Aaye Paraye apne kabh k huwe abh aur apne bann k Aaye Musalsal khair ka muntazir rehta tha kabhi Sau saal se ruka hoon jaise ki bass ek din Aaye
Abh Lagzishein, Khatayein ya barbaadiyan aaye Behtey huwe jheel mai garajta samndar aaye Yeh toh waqt mera hi ruka huwa tha kabhi Fikr kahan abh barsat e ilzam ya daur e muhabbat aaye..
Abh muje ahl e wafa e sanam na sikhao Barsa hai badal muje tareek e asmaan na sikhao Yun toh ek boond mai simat k hai khuda wandhe Har roz ki baarish se muje barasna na sikhao
Ajab ! Ki woh talash , muje talab e yaar na sikhao Hawao ka rukh moda maine, jalwe yaar abh na sikhao Yeh Sawal e ashiyan ka jawab e ashiyan na sikhao Abh shaam hogayi meri, abh yeh rukna na sikhao.