Tumhe paane me koi kasar chhodi hogi maine aisa har koi kehta hai... Baddimag hai ye sara zamana aisa mera dil kehta hai... Jawab me mai bas itna hi keh deta hu ki, Mai pyar tumse bas itna hi karta hu, ki tumhara dukh meri aankhon se behta hai...
Sath bhale hi chhut gya, par pyar pe bharosa bana raha. Dil puri tarah toot gya, par wo apni jagah par bana raha. Ummid nhi thi tumhare sath ki, par na jane kyu, Meri aakhri saans ginte waqt bhi, tumhara sath mere jine ki eklauti wajah bana raha.
Ek bhari puri khuli kitab hua karta tha mai... Jisey padhne ka haq ek shaks ko diya... Kuch panne faad kar chala gya wo shaks... Ab adhoori kitab hu mai, jisey maine humesha ke liye band kar diya....