Saare rishte mujhe tumse mil jaate hai..
sab door ho kar bhi tujhme hi najar aate hai..
kabhi tu maa sa laad ladata hai..
kabhi baap sa sir pe hath rakh jata hai ..
kabhi bhai jaisa ladta hai to kabhi dost sa manata hai..
jeevansathi ban tu har kadam mere sath aata hai...
jab jab dagmagaye mere kadam tu hath thaam jata hai,
Aankhe meri bhare to aasu tu bahata hai
Meri hasi ke liye tu cartoon tak ban jata hai..
mujhe koi hurt kare to tu duniya se lad jata hai...
Khud dhoop me jal ke tu mujhe thandi chhaw dilata hai...
Mujhe jara kuch ho jaaye tu bhitar tak dar jata hai or khud mujhse tu apna har ek dard chhipata hai...
Meri har ek raaj ka tu hissedar ban jata hai,
pati hone ke ahem se jyada tu mera sachha dost ho jata hai..
Jo sab baate ek ladki apne husband se chhupati hai,o sab baate tu mujhse haste haste sun jata hai...
Kabhi laga na dar mujhe ki tu kya sochega mere baare me, tu itna bharosha mujhe apne me dilata hai...
-