Jenny Jain   (Jenny Jain)
43 Followers · 19 Following

read more
Joined 21 March 2020


read more
Joined 21 March 2020
27 NOV 2024 AT 11:29

MYSELF because I cared for everybody and everything else except for ME.

-


27 NOV 2024 AT 11:25

That not all people in your life will stay with you forever..

-


16 JUN 2024 AT 22:17

Aao aaj unse milati hu
Jinhe sabse jyada chahti hu
Bhagwan ka har ek roop
Mai bas unme hi paati hu

Inhone hi mujhe
jeevan ka saar samjhaya
Ungli pakad kar
mujhe chalna sikhaya

Galtiyon ko mere baksh diya
Sahi galat mein bhedh bataya
Ladkhadayi jab bhi mai kahi
Sahara bankar seene se lagaya

Sari umra prem aur aatmiyta se
Phoolon sa sambhala hai mujhe
Tuta hai dil unka bhi kayi dafa
Jab bhi bikharte dekha h mujhe

Unka seer par haath rakhna
Maano jeevan safal lagta hai
Jeevan se koi shikayat nahi
Mehfuz mujhe har pal lagta hai

Godh mein unke seer rakh ke sona
Ek alag sa sukoon lagta hai
Unke prem aur suraksha ke bhitar
Mann mein koi bhay nahi jagta hai

Bhagwan ko puje yeh zamana
Jo kahi bazaar mai bikta hai,
Mujhe toh mera bhagwan keval
Mere pita mai dikhta hai!

-


26 MAY 2023 AT 11:57


बूझा ना सके कोई,
रेत डालने के बजाए
घी डाले हर कोई!

-


28 AUG 2021 AT 12:10

Shukriya meri zindagi mein aane ke liye,
Shukriya muje apna banane ke liye,
Shukriya meri har ichcha ko sarakho pe rakhne ke liye,
Aur shukriya mujse beinteha mohabbat karne ke liye...

-


9 MAY 2020 AT 2:21

मैं उलझे हुए जज़्बातों को
सुलझे लफ्ज़ों में बया करती हूँ,
लोग कहते हैं मैं लफ्ज़ नहीं
मुकम्मल जज़्बात लिखती हूँ।

-


27 AUG 2021 AT 22:18

Bada lamba tha zindagi ka yeh safar,
Par na jaane dil pe hua aisa kya asar,
Jaha ek-dusre ko bardast bhi na the hum,
Aaj ek-duje ke bina adhure se hai hum,
Dushmani se pyaar tak ka ye safar sapna sa lagta hai,
Hamara milna maano jaise koi haseen afsaana sa lagta hai...

-


26 AUG 2021 AT 23:59

Apki muskurahat se milta sukoon hai,
Aapki khushiya ab hamara junoon hai,
Salamat rahe yeh muskurahat hamesha,
Bas yahi dua karti aapki khatoon hai...

-


24 AUG 2021 AT 23:10

Kehne ko toh waqt
yuhi guzar jayega,
Par har bita lamha
pal pal yaad aayega,
Umeed karti hu phir
jald hi mulaqat hogi,
Aur inhi mulaqaton mai
umrabhar ki Saugaat hogi!

-


22 AUG 2021 AT 12:41

Bhai-behen ka rishta bhi
anokha sa hota hai,
Iss duniya se pare,
bada naayab sa hota hai,
Ladte - jagadte bhale hi
nikal jaati hai zindagi,
Par musibat mein pehla saath
inhi ka toh hota hai.
Jaha ek-duje ko hamesha
kaatne daudte hai,
Wahi ek-dusre ke bin
har pal adhura sa lagta hai.
Are yeh toh woh rishta hai jise
khuda ne khud nawaza hai,
Khush-naseeb hai woh jinhe mila
iss rishte ka nazarana hai!

-


Fetching Jenny Jain Quotes