Har ek panne pe kuch khaas likha hai
Bas iss tarah tere mere ishq ka itihaas likha hai
Tu duniya mein chahe jahan bhi rahe
Apni kahaani mein
Maine tujhe
Apne pass likha hai
-
Foodie
Learner
I wish we had more time
Bohot duur hai tumhare ghar se
Hamare ghar ka kinaara
Par hum hawa ke har jhonke se
Puch lete hain
Kya haal hai tumhara-
Hum alfazon ko dhoondte reh gaye
Aur woh aankhon se ghazal keh gaye-
Tum yeh dua karo
Koi raasta nikal sakoon
Tumhe kissi aur ke saath bhi
Dekh sakoon
Aur khud ko bhi sambhal sakoon-
Haste dilo mein gham bhi hain
Muskurati aankhein kabhi num bhi hain
Dua karte hain aapki
Hasi kabhi na ruke
Kyunki aapki muskurahat ke deewane
Hum bhi hain-
Kaun hai mere dil mein
Yeh puch kar din bhar
Bawaal karte ho
Khud jawaab ho kar
Khud hi sawaal karte ho-
She was looking for the spark in her life
And found it in the twinkle of his eyes-
Na woh aa sake
Na hum kabhi ja sake
Na dard dil ka
Kisi ko suna sake
Bas khamosh baithe hain
Unki yaadon mein
Na usne yaad kiya
Na hum usse bhula sake
-