Jay Koshta   (Jay koshta)
234 Followers · 434 Following

Joined 26 May 2019


Joined 26 May 2019
31 JUL AT 23:30

Gawahi dene aaye jo mere haq me sabko maar diya tune..
Zalim teri nazar ne aisa kya deewana kiya hai sabko..

-


21 JUL AT 1:11

Kal sharab ke nashe me mujhe loot kar le gya koi...
Aaj ishq ke nashe me har roz lootta hoon mai...

-


21 JUL AT 1:01

Dhokha de kar wafa ki baat karta hai..
Sab kuch chhin kar mujhse ye nafa ki baat karta hai...
Jeete ji jala diya jisne mohabbat ke mandir ko..
Is insaan ko dekho ye khuda ki baat karta hai...

-


21 JUL AT 0:49

Mere ghar ki chaukhat par aankhen rakh gya wo..
Intzaar etna kiya ki saanse rakh gya wo..
Ujalon me zindagi etni mashroof rahi meri..
Aur meri takiye ke niche raatein rakh gya wo...

-


6 MAY AT 22:32

Suno to sahi kuch sunna chahta hoon mai..
Mud ke dekho to zara kuch batana chahta hoon mai..
Tum jo tod ke ja rahi ho dor ishq ki..
.
Ise phir se ek bar jodna chahta hoon mai ..

-


13 JAN AT 10:32

Saza zindagi bhar ki de ke tum kya batana chahte ho..
Mujhse nazare fer kar tum kya chupana chahte ho...
Mana ki maine galtiyan ki hai bahut zindagi me..
Kya ab zindagi bhar mujhe rulana chahte ho...

-


12 JAN AT 16:09

Etne paise bhi nhi hai tumhare paas ki mujhe zahar la kar de sako...
Aye dost phir to marne ka khyal tumhe bhi aata hoga...

-


12 JAN AT 14:21

Saalo baad jab mai us gali se guzra..
Pta chala wo shakhs yahan se kahi aur ja guzra...
Ab us khidki par parde bhi naye lage the..
Maine poocha ek raqeeb se..
Ye batao wo shakhs guzra to kaha guzra....

-


11 JAN AT 10:32

Sharab ke bina bhi kadam bahakte se hai...
Ab uske mohhalle me jane se ham khud ko rokte se hai..
Har marz ki dawa jahan mila karti thi mujhko..
Us hakeem se ab marham lagabane me ham sochte se hai..

-


10 JAN AT 15:04

Is haal ke baad ab aur kya barbaad karega koi....
Aye maut tujhe bhi aane me kya etna waqt lagta hai...

-


Fetching Jay Koshta Quotes