8 NOV 2017 AT 18:23

Kabhi Socha Na Tha...

Humesha se yehi suntaa aaya hu ki har shaayar ke peeche ek toota hua dil hota hai,
Kabhi Socha Na Tha ki meri shaayari ki wajah bhi ek toota hua dil hoga.

Jab kabhi kisi ko kisi ladki ke liye rote hue dekhta tha toh,
Aksar socha karta tha ki kitna naadan hai ye bechaara,
Lekin jab khud iss waqt se guzraa toh,
ab kya kahu...
Kabhi Socha Na Tha ki mai khud bhi itna naadan hu.

Badi kambakht cheez hai ye dil,
Kisi ke saath rehte hue isey itni mohabbat ni hoti,
Jitni uss shakss ke jaane ke baad ho jaati hai,
Kabhi Socha Na Tha ki mera dil bhi itna kambakht hoga.

Kabhi Socha Na Tha ki mujhe bhi kabhi itna pyaar hoga....

- itscutewriter