Paisa na ho fir bhi sath nibhate dekha hai,
Pyaar k sath sukh dukh mein bhi ghar basate dekha hai,
Han pr ye sath aaj kal k do pal ki mehfil ka nahi, purani zindgani hai,
Kyuki aaj k rishton ki ehmiyat toh sirf paison ki zubani ki hai..-
Suno karz aaj bhi uttar rha hu tere intzaar k, apni zindagi k bache hue waqt se.
-
Na dhund le koi tujhe, mujh mein kahi,
Iss liya seekh liya maine bhi mukhotein lagana,
Pr kya kru main uss sheeshe mein khade shaks ka,
Jo dhund leta hai tujhe, mujh mein, chahe roz laga lu naye mukhoton ka main naya bahana..!-
Waqt k beetne mein aur gurzarne mein fark tabh samjh main aya,
Jb zindagi ne uss ek shaks se dur kr tannha mujhe banya....! — % &-
चलो छोड़ो अब जाने भी दो,
बोहोत किनारों पर रुका हूँ तुम्हारे लिए,
अब मुझे बह जाने भी दो!— % &-
Aakhir Kitta mushkil hoga iss dil ko samjhana,
Zindagi ki subhe se roz yun jee churana,
Raatein teri yaad mein beetana,
Yun baithe baithe, kbhi gum toh kbhi khushi mein doob jana,
Teri yaadon se nafrat kru ya pyaar ye samjh pana,
Aakhir aur Kitta muskil hoga jaane iss dil ko samjhana...!— % &-
Dil aaj bhi kai baar tujhe iss kadar yaad karta hai,
Ki tujhe dekhne ki khatir, dhundne ye nikal padhta hai,
Aur fir dekh kr tujhe kisi aur ki zindagi k panno mein,
Ye aaj bhi bematlab machalta hai..!— % &-
Unn bikhre hue baalon mein,
Chupa chand sa chehra hai,
Raat se churaya ye Noor bohat gehhra hai,
Koi rok lo iss dil ko yun machal jane se yaaro,
Un aankhon ne is dil ko chaaro taraf se gehra hai...!— % &-
ख़ाबों की दुनिया से एक दिन तुझे चुराना है,
हकीकत में भी तुझे अपना बनाना है...!-