Jamil Hussain Mukta  
913 Followers · 596 Following

read more
Joined 21 January 2018

read more
Joined 21 January 2018
2 JUL AT 11:02

Teri baaton mein itna mashgool ho gaya,
Ke na jaane kab, kaise tujhpe dil aa gaya.
Tujhe dekha nahi, magar teri baaton mein beh gaya.

Ab to har waqt tu hi rehti hai zehan mein,
Dil chahta hai ke tu aa jaaye baahon mein.

Tu hai koi jaadugar... ya baaton ka kalakaar,
Yeh tera jaadu hai, ya tere fun ka kamaal.

Khwab dekh raha tha kuch aisa, jab waqt aaya milne ka,
Kambakht neend hi toot gayi, aur tu khayalon mein hi reh gaya.

-

29 JUN AT 21:19

Khamoshi Ki Wajah
(The Reason Behind the Silence)

Woh mehfil mein hote huye bhi rehta hai alag,
Shaayad mukhtalit mizaj hai,
ya hai ghair-milansaar.
Dekh kar lagta nahin ke hai woh tanha-mizaj,
Shaayad majboor hai...
ya mehroom hai kisi ke giraav se.

Phir bhi usay na koi itraaz hai,
na hi koi gila,
Na koi shikayat hai,
na hi koi shikwa.
Shayad jeena bhi seekh liya hai...
be-ta’alluq hokar,
Chahe kisi ki mohabbat mein ho,
ya kisi ke khauf mein.

-

23 JUN AT 20:31

Ek Ajnabi Ki Dastan
Main ek ajnabi se ulfat kar baitha,
Na kabhi mila, na dekha — bas rooh se nisbat kar baitha.

Uski sadaa mein thi kuch narmi, kuch lagzish, kuch sakoon,
Ke dil bechain ho utha, aur main usi ka ho gaya usi junoon.

Ehsaas ke jazbaat ko samajhne mein der ho gayi,
Aur izhaar se pehle hi, woh kisi aur ki taqdeer ho gayi.

Na jaane kitne armaan, dilon mein hi kafan pehn lete hain,
Jo lafzon tak aate aate, khauf ke saaye mein dam tod dete hain.

Inkaar ke darr se mohabbat be-zubaan reh jaati hai,
Har nazar, har lamha, bas khamoshi mein kho jaati hai.

Lekin mohabbat... na kabhi fanaa hoti hai,
Na zinda-dil dil se juda hoti hai.

Kuch log use tabassum ke pichhe chhupaa lete hain,
Aur kuch... tanhaayi mein ashk banakar baha lete hain.

Aur kuch, meri tarah...
Us naamuraad ishq ko she’r bana dete hain.

-

23 JUN AT 20:28

23 JUN AT 20:26

23 JUN AT 3:26

To the One I Never Met
("Someone’s wound bled in my words.")
By Jamil Hussain Mukta

I loved someone I never knew,
No face, no picture, no single view.
Just their voice—so soft, so kind,
It stayed for long inside my mind.

Before I propose, they slipped away,
Chose someone else, didn’t stay.
I held my words, I held my pain,
Like quiet thunder in the rain.

So many hearts keep love inside,
Afraid to speak, they let it hide.
Love doesn’t fade—it hides instead,
In dreams we see, in tears we shed.

This isn’t my tale—but I made it rhyme,
Gave someone’s silence a voice through time.
A nameless love, a quiet regret,
For the one I loved… but never met.

-

20 MAY AT 19:26

“Ten beggars can share a hut,
but two kings cannot share a palace.”

-

23 MAY 2023 AT 20:13

Tum mera aur me tumari he zarurat
Cholo ek dusre k pura kare zarurat
Alag reh kar v alag nahi he hum ek
Cholo hum aur tum ho jay ek
Zindagi me na jane koun kaha honge
Chalo Kuch aisa kare ki hum-tum ek sath reh jay
Muskil e nahi na mumkin lagta he kuch aisa hona
Chalo dekte he sayed kuch karamat ho jay
Zindagi bar khilya sath na sahi
Chalo ek din khilya tum mera ho jaw
Zindagi me har cheez ka jawab nai milta
Lekin jiska jawab nahi wo lazawb hote he
Chalo jawab na sahi, kuch lajawab hone ka intezar karte he

-

23 FEB 2023 AT 0:23

Mubarak ho apko wahi dost
Jiska dosti he apki kabil
Mujse kiya milega apko
Muje to tikse do lafz tak baat karna nahi ata
Jaha mile kushi wahi lage raho
Jaha mile duk wahi se dur chalo

-

18 JAN 2023 AT 1:12

Na jane aaj kya hogaya
Dekte dekte koi paraya hogaya,
Rishta mojboot karne ki koshish me
kush rishta komzor hogaya,
Na jane aaj kiya hogaya
koi Jana pechana sa
aaj Anjana sa hogaya......

-

Fetching Jamil Hussain Mukta Quotes