Sard raton me takiye se apna muh daba ke sota hu mai bhi.
Mard hu to kya hua rota hu mai bhi.
Dil mere paas bhi hai pyaar mujhe bhi hota hai.
Kahun kisi se na par dil mera bhi toota hai
Jaanta mai bhi hoon ki dard kya hota hai
Haan kahte hain sab mard ko dard nahi hota.
Par mai kahta hu jise dard nahi hota wo mard nahi hota
Arre kaise nahi hoga dard kuch khone ka
Kaise nahi hoga dard is dunia me akele hone ka
Aur kaise nahi aayenge aansu jab dard hoga to.
Mard emotional nahi hote,unhe dard nahi hota.Ye sab bas kahne ki baatein hain
Ye baat alag hai ki dikhata nahi hu mai.
Kyuki nahi aata yaar apne emotions ko sabke samne lana.
Agar kuch aata hai to wo hai dard me bhi muskurana.
Kyuki raton me sisak-sisak ke sota hoon mai bhi.
Mard hu to kya hua rota hoon mai bhi.- Jafar Mehdi
3 JAN 2018 AT 13:41