I buy something from torn note😂
-
Mai apne aap ko shayar ... read more
Jaan Jaati hai to jaaye nahi hai hamko, zara bhi Gham
Mohabbat kaam hai apna,mohabbat baatenge har dam
-
Jo bhi hota hai acche ke liye hota hai....
Par yu bila wajah koun khafa hota hai?
Saare dukh-dard zamane ke sahu has ke, lekin
Ye dard kaise sahu ke yaar juda(जुदा)hota hai....!
Dil ko samjhaya bahot bhool jaaye ye tujhko
Dil hai masoom ye bas tujhpe feda rahta hai
Jis-se dukh dard apne saare baant-ta tha mai
Haan wo shaks ab na jaane kaha rahta hai
Aankhein ab bhi tere deedar ko tarasti hain
Inme umda(उमड़ा) hua sailab sa ek rahta hai
Meri diary ke aakhiri waraq par ab bhi
Saath me mere, tera naam likha rahta
hai
Phone bajta hai to lagta hai toone yaad kiya
Ab bhi message ka tere intezaar rahta hai
Dil ki taskeen ke hai waaste likhta "Jafar"
Zamana yu hi bas shayar mujhe kahta hai
~Jafar Mehdi✍️-
सियासी लीडरों की साज़िशें नाकाम करते हैं
चलो ये ज़िन्दगी इंसानियत के नाम करते हैं-
Some night I wish,
I could go back in life.
Not to change anything,
just to feel a couple things twice-
maybe we will never meet
but we can still walk together
like parallel lines
to infinity and beyond-
Meri har soch har khayal me rahti hai wo
Har ghazal,har nazm ka unwaan hai wo
Chhodo jaane do ab likh ke nahi bata sakte
Bas itna samjho ke is naacheez ki jaan hai wo
❤️❤️❤️-
Khud ke liye duaayen na jaane kyu karne ko kahti hai
Usko shayad maloom nahi meri har dua me wo rahti hai
❤️❤️❤️❤️-
Koi kaandha nahi ki jis pe sar rakh ke ro sakein
Koi apna nahi ki jisse Haale dil ham kah sakein
Faqat Udasi hai ab jine ka sahara baaqi
Bedard duniya me nahi koi hamara baaqi
-Jafar Mehdi✍️-