Ab jab ki nahi ye hai saal’o ki qurbat
Hai kaisi phir bhi ye faasl’o ki qurbat
kahi humraaz hai to kahi humsaaz hai
Samjh sako to samjho qaatil’o ki qurbat-
Maznil’on se behtar safar hua karte hai
_... read more
Chhu ke jo guzar jaye, wo mast lehr’on sa mai
Dil’on ko jalakar roshan hue charagh’on sa mai
Mai sang dil hoon, raasta badalte rehta hoon
Jo kabhi haqeeqat nahi hote, un sarab’on sa mai-
Na khidki na koi darwaza nazar aata hai yahaan
Ainak ke beghair kitna dhundhla hai mera jahaan-
mai tanhayi me aksar tujhko apne qisse sunaata hoon
sonchkar tera radd-o-amal, mai bhi muskuraata hoon-
lutf leta hoon ab ye zindagi ke safar se mai
dekhta jo hoon dunya ab teri nazar se mai-
har mausam me teri aaghosh me sukoon paaya hai
jaise karhi dhoop hai aur ghanay perh ka saaya hai-
Ye hazaaro haste hue chehre,
tera bas muskurana ek taraf
Kaii haath milte hai subh o shaam
Tujhse nazar milaana ek taraf
Ye dunya bhar ki rangeeniya,
Nazar tujhe talaashe chau taraf-
reh reh kar tumko meri yaad nahi aati kya
ya raqeeb jaisi mujhme baat nahi aati kya
kyun bewajah darte ho shor barpa hone se
mai aata hoon to khamoshi saath nahi aati kya
roz raat ko tumhari yaad'on ka din nikalta hai
ab tumhaare din'on me koi raat nahi aati kya
hum ghar se lage, na kaam se lage na kaaj se
achha ye bataao, ishq ko maut nahi aati kya-
sannaati raat'on me viraane jab hote hai abaad
dil ke sandoq'on se teri yaadein hoti hai azaad
aatish-e-ulfath ke shol'on me hum jal jal kar
Qist’on me hote hai lamha dar lamha barbaad-
ye bechaini Ek baar ki baat nahi
Asaani se kati ho aisi koi raat nahi
Teri hasi, teri baatein, tera mujhko sataana
In sab ko bhuljau, aisi meri zaat nahi-