Iz'Aan Khan   (Izaan Khan)
21 Followers · 7 Following

Instagram: izzcasm
Joined 29 September 2017


Instagram: izzcasm
Joined 29 September 2017
2 FEB 2022 AT 21:11

Zindagi se Adeeb ka mahz yahi sawaal hai,
Aziyyatei'n ye Jahaan ki, Ye kaisa zawaal hai

Kya hi kisi k jurm or kya hi kisi ko malaal hai
Daulat hi to mahz ab yaha'n ka jamaal hai

Kon shakhs kar raha apne zameer se sawaal hai
Durust karei'n duniya ko, khud ko koi majaal hai

Jidhar nazar uthaayei'n udhar koi vabaal hai
Koi kahi'n sar sabz ho to wo ek kamaal hai

Rashk, Tilism, Tapish, vabaa, zadd or kaal hai
Daa'imi tishnagi or iske ikhtitaam ka visaal hai
Koi kahe yahi jahaan hai, koi kahe ye jaal hai
Haqeeqat mei'n ye ek dozakh ki misaal hai!

-


12 MAY 2020 AT 5:47

Kuch bhi nahi mayassar zindagi mei'n ab in khayaalo'n k siwa
Mai'n khoya rehta hu'n, Jaag kar bhi soya rehta hu'n
Mere zehen se kuch baatei'n khatm nahi hoti
Mai'n thaharna chaahta hu thoda, befikr tahalna chahta hu'n
Ye kambakht kuch raatei'n khatm nahi hoti
Meri jaddo-jahad bhi bas itni hai k zamaana samjhe mujhe
Jhutlaana hai jhutla de sab kuch mere in havaalo'n k siwa
Kuch bhi nahi mayassar zindagi mei'n ab in khayaalo'n k siwa

-


18 APR 2020 AT 16:27

رشک ہے طلسم ہے تپش ہے یہاں
میں آیا کہیں اور تھا یہ جہاں کوئی اور ہے

Rashk hai Tilism hai Tapish hai yaha'n
Mai'n aaya kahi'n aur tha ye jaha'n koi aur hai




-


18 APR 2020 AT 4:11

पलक झपक अलग अलग
रंग दिखा रही ये ज़िन्दगी
कभी नर्म कभी कड़क
सब सिखा रही ये ज़िन्दगी
मस्तक पे ये दस्तक दे
गलत गलत हटा रही ये ज़िन्दगी
वास्तव में कम जियूं
मैं विचारों में हूं जी रहा
भटक भटक बहुत लिया
सही पता दिखा रही ये ज़िन्दगी
सबक़ सबक़ सब रट्ट लिया
अब नवीन कुछ बता रही ये ज़िन्दगी
पलक झपक अलग अलग
रंग दिखा रही ये ज़िन्दगी...


-


29 MAR 2020 AT 21:22

And if you came, looking for me
Everywhere, then the shore of the sea
You'll find me sitting there
Thinking, laying under the tree

And if you care about sitting beside
In the silence, Then I will decide
To tell you what the waves assert
To tell you what the breeze recite

Till now, You've known the old chapter
Till now, Descriptions were your captor
And now you'll able to see
A new me and a new sea!




-


13 JAN 2020 AT 1:55

زندگی کی تجوری مے صرف خیالات ہی رکھے ہیں
ادیب امیر بھی بہت ہے محروم بھی بہت!







-


12 JAN 2020 AT 0:50

I've been so quiet for so long, Even my entity has became a mystery!

-


2 JAN 2020 AT 21:22

Bad-aqal Muhaafiz hi hai barbaadi ki wajah,
Kya tum log taane Zamaane par kaste ho,
Khud reh gaye peechhe mazaaq ban k,
Kya tum log inke hasaane par haste ho!
Simto'n mei'n khoye hue
Aqeedo'n mei'n soye hue
Insaaniyat ko kho chuke
Zameer apna dho chuke!
Karna kya chaahte ho?
Kuch kar bhi paaoge?
Ye bad-aqal muhaafiz hi hai tumhari barbaadi ki wajah!




-


4 DEC 2019 AT 1:58

Aksariyat chaahe jaha'n bhi jaaye
Khud k hamesha rehbar rehna
Hazaar log hazaar nuqte-nazar
Khud se hamesha behtar rehna

-


23 NOV 2019 AT 2:23

Qisse the bohot, Kisi Ko bata na saka
Dil par se apne ghubaar hata na saka
Zadd mei'n bhi raha, Sab chhupaata bhi gaya
Khud gum bhi raha, Raah dikhaata bhi gaya
Phir
Socha k khabar du'n Raah-e-khaar par chal raha hu'n
Haan aaftaab tha kabhi, Ab mai'n dhal raha hu'n
Lekin
Chaah kar bhi kabhi kisi Ko jata na saka
Dil par se apne ghubaar hata na saka
Qisse rahe bohot mai'n kisi Ko bata na saka...

-


Fetching Iz'Aan Khan Quotes