Allah Tala ka Irshad Hai: Jo kuch tumhare paas duniya mein hai, oh ek din khatam ho Jaega aur jo amal tum Allah Tala ke pass bhej doge oh hamesha baki rahega..
-
Allah Tala ka Irshad hai: Aur Jo kuch tumko duniya mein diya gaya hai, oh to sirf duniya ki chand(kuch) dino ki zindegi gujarne ka saman aur Yahan ki (fanaa hone wali) raunak hai aur jo kuchh Allah ke pass hai oh behtar aur hamesha baki rahane wala hai, kya tum Itni baat bhi nahin samajhte.
-
Hazrat Abu huraira (ra°) se riwayat hai ki nabi karim ﷺ ne irshad farmaya; Islam yeh hai ki tum Allah Tala ki ibadat karo unke sath kisi ko sharik na thaharao, Namaz Kayam karo, Zakat Ada karo, Ramzan ke roze rakho, Haj karo, Neki Ka hukum karo, Burai se roko, aur apne gharwalon ko salam karo. Jis shakhs ne unmen se kisi chij mein kuchh kami ki to oh Islam ke hisse ko chhod raha hai aur Jisne un sabko bilkul hi chhod diya usne Islam se munh fer liya.
-
Hazrat Abu Braza (ra°) riwayat kar te hai ki rasulullah ﷺ ne irshad farmaya: E oh logo jo sirf jobani Islam lae aur Imaan unke dil mein dakhil nahin hua! Musalmano Ki gibat na kiya karo aur unke aebo ke piche na padha karo, Kyunki Jo musalman ke aebo ke Piche padta hai, Allah uske aeb Ke Piche pad jate hai aur Allah Jiske app ke aeb Piche padh jate hai use ghar Baithe ruswa kar de te hai.
-
Hazrat ubada bin shamit (ra°) kahate hain ki ek martaba Huzur ﷺ ne Ramzanul Mubarak ke karib Irshad farmaya ki Ramzan Ka mahina aa gaya Jo badi barkat wala hai. Hak taala sanhu(ﷻ) ishme tumhari taraf mutwajah ho te hai aur apni rahamate khasa najil farmate hain, khataon ko maaf farmate hai, Dua ko kubul karte hai, Tumhare tanafhush ko dekhte hai aur malaika (farishte) se fakr karte hai. Pas Allah ko apni neki dikhlaao badnasibi hai wah shakhs jo is mahine mein bhi allah ke rahamat se mahroom rah Jaaye.
-
Hazrat zainul abidin (ra°) farmaya kar tethe mujhe takbur karne walo par tazub hai ki kal tak napak notfa tha aur kal ko murdar ho jayega, Phir takabur kar ta hai, App farmaya karte the ki tajub hai ki, Log fanna hone wale ghar ke liye fikar karte hai, Aur humesha rahene wale ghar fikar nahi.
-
•Islam kya sikatahai?
Ishlam ye sikhata hai ki اللہ ek hai, ibadat ke layak wahi hai aur Hazrat Muhammad ﷺ Allah Ke Bande aur Rasool hai. Aur Quran Sharif Allah Tala ke Kitab Hai. Islam Saccha Din Hai Duniya aur akhirat ki Tamam Bhalai aur Nek Baat Islam sikhata hai❣..-
Allah tala us bande se behad khush hote hai jo lukma khae aur uspar Allah tala ka sukar ada kare ya pani ka ghut piye aur us par Allah tala ka shukr ada kare..
-
Ramzan ul Mubarak ki Raaton me se ek Raat sabekadar kahlati Hai Jo bahut hi barkat aur khair ki Raat hai Kalam-e-pak main usko hajar mahine se afzal batlaya hai.Hajar mahine ke 83 baras(years) 4 maha(month) hote hain. khush naseeb hai oh sakhasa Jisko Is raat ki Ibadat naseeb ho Jaaye Jo sakhasa is raat ko Ibadat me gujar de usne goya 83 baras 4 maha se jyada Jamane ko Ibadat me gujar diya aur jyadqti ka bhi haal naloom nahi ki hajar(1000) mahine kitne maha jyada afzal hai.
-