Filhaal to tere ishq ki uljhan main mubtala hun main…
Bus ek kun main hai raaz mere sulajhne ka …
Dua hai ke mukhtasar rahe muamla mere sulagne ka …
Main sulajhna paun sulagbhi jaun ulajh raha hun
Main hans bhi. Sakun main ro na kakun main tumse juda kabhi ho na sakun-
Ye jo tum mujh se bichad jaatey ho
Milne se tum har roz mukar jaatey ho
Kiyun khwaab main aatey ho gale lagtey ho
Mujhe hansatey ho muskura ke chale jaatey ho-
Dekhna meri EID ki khushi bhi kha jayega wo shakhs..,
Dekhna main naya libaas pehen ker bhi udaas lagu ga…-
Mera Allah mere honsle buland rakhta hai
Apni rehmaton se khoob nawaaz ta hai
Main khata karta hun gunahgaar hun
Mera allah ata karta hai reham karta hai
-
Khusiyon ki dua bhi de jaate hai aksar
Phir Rulakar bhi chale jaate hai aksar
Kuch loge Mohabbat se bulaten hai aksar
Phir matlab nikaal kar chale jaten hai aksar
Kuch loge baaton se hunsa te hai aksar
Kuch baaton main bhi aate hai aksar
Kuch loge apna bana ten hai aksar
Kuch dard bhi de jaate hai aksar
Kuch loge dard ko chupa ten hai aksar
Kuch loge dard apna bataten hai aksar
Kuch loge yaadon main bhi aate hai aksar
Kuch loge neendon ko chura te hai aksar
Kuch loge khusiyan bhi de jaate hai aksar
Kuch loge roten bhi chod jaate hai aksar
Kuch loge sahara bhi banjate hai aksar
Kuch be sahara bhi chod jaate hai aksar-
Rishton ki Dore mohabbat se bandho
Baaton se rishten toot jaate hai aksar
Apno se loge kiyu rooth jaate hai aksar
Apno se kiyu sapne saja ten hai aksar
Main dekhoo jo khwab wo toot jaate hai aksar
mere dost mujhse kiyu rooth jaate hai aksar
dost dost nahi dil ka sukoon hote hai aksar
Phir kiyu dost tanha akele chod jaate hai aksar
Mohabbat ko kuch khass bana ten hai aksar
Pal bhar main rooth kar chale jaate hai aksar
Haaton se hath bhi choot jaate hai aksar
Mohabbat main loge toot bhi jaate hai aksar
Wadon se loge mukar bhi jaate hai aksar
Warna kiyu jhoot ko apna bana ten hai aksar
-
Shukaran alhamdulillah
Yaa Allah tera shukar baitulla ke didaar ke liye
Yaa Allah Tera shukar hajwe aswat ke bose ke liye
Yaa Allah Tera shukar baitulla ki namaaz ke liye
Yaa Allah tera shukar safa marwa ke didaar ke liye
Yaa Allah tera shukar masjid aaysha main iftaar aur namaaz ke liye
Yaa Allah tera shukar makkah tak laane ke liye
Yaa Allah tera shukar makkah ki Eid Mubarak ke liye
Yaa Allah tera shukar Madina dikhane ke liye
Yaa Allah tera shukar piyare nabi paak ke roze ke liye
Yaa Allah tera shukar jannatul Baki ki ziyarat ke liye
Yaa Allah tera shukar madine main Namaz Ada karne ke liye
Yaa Allah tera shukar madine main sehri aur iftaar ke liye
Yaa Allah tera shukar madine ki ziyaraton ke liye
Yaa Allah tera shukar Masjid quba ki ziyarat ke liye
Yaa Allah tera shukar masjid qiblatain Do qible wali masjid ki ziyarat ke liye
Yaa Allah tera shukar junge maidaan ki ziyarat ke liye
Yaa Allah tera shukar mujhe umrah karwane ke liye
Yaa Allah tera shukar mujh jaise gunahgaar ko apne ghar bulane ne ke liye
Yaa Allah tera shukar meri har baat sunne ke liye
Yaa Allah tera shukar mujhe is qabil samajh ne ke liye-
Main chala gaya hun apne saare gamm
Din aur raat le kar chala gaya hun
Safar main hun main hunsraten kuch
Baaten koi aas le kar chala gaya hun
Main hunsna Rona dil ki baaten saare gamm
Aur Jazzbaat apne halaat le kar chala gaya hun
Main uss safar pe chala gaya hun
Jiss safar ki khwahish har musalman ki hai
Wahan se bulawa hai main apna sab kuch
Gunah mere khwaab ehsaas mere jazzbaat
Meri saanse le kar chala gaya hun
Ae allah Main apne saare run jo gamm tere darr pe
Lekar chala gaya hun main nikal gaya hun
Teri reh gujar main mera sath dena mujhe maaf karna main bhara hua hun gunaho se
Mujhe paak karna mujhe maaf karna
Meri khwahishen jo bhi use khaas rakhna
Mujhe yaad rakhna teri rehmato main
Teri subh o shaam teri baarisho main-
Ye kiyun hua ke badal gaya hun main
Zara sa khud main bhi dhal gaya hun main
Jo Tumhara hone main main Jal gaya tha
Wo khaak le kar nikal gaya hun main-
Mene dil ke dariyan main khud ko duboyan hai
Kisi ki chahat main khud ko yun khoya hai
Main ab anjaan logon se bach ke hi chalta hun
Mene janne walo ko is jahaan main hi khoya hai
Main jo rootha sa rehta hun kuch nahi kehta hun
Main haqikat main hi toota hun tanha sa main rehta hun
Na zamaane ki fikr koi na main diwaana sa hota hun
Main hawa ka jhonka hun kisi shakh pe main betha hun
Wo hawa hai jo gira degi mujhe mitti main panha degi-