Irshad Khan   (Kalam_e_Irshad)
14 Followers · 8 Following

read more
Joined 12 February 2019


read more
Joined 12 February 2019
7 HOURS AGO

Hum sapno ko apna bana baithe,
Hum dil sey kabhi bhula na sake
Kyunki unke Bina jina kabhi aya nhi,
Abto bas sirf yaadon ka sahara hai..!!

-


10 APR AT 1:22

Main khush rehna bhi chahuin to kaise rahuin,
Mujhe khush dekhne wala wo shaqs hi nhi hai,
Main aaj mein jee raha lekin,
Meri asli Khushi mere Kal mein basi hai…!!

-


4 APR AT 2:21

Aye EID ab main tujhe kya kahuin,
Jiske hone sey hoti thi mukammal eid meri,
Jiski muskaan meri EIDI hoti,
Uske bina ab saari EID hai Adhoori ,
Uss shaqs Bina Har EID hai Adhoori…!!

-


4 APR AT 2:15

Ashkon sey dosti krli hai,
Sukoon ko kar aya Alvida kahin,
Abto zindagi kaatna mushkil lag raha,
Jaise main khud ko kahin dafan kr raha,
Ab na koi shikwa aur na koi Ruswai hai,
Har dard mein sirf meri Parchaayi hai,
Kitna bhi kr luin main khud pe yakeen,
Main to ab ban Gaya apne naseeb ka fakeer..!!

-


4 APR AT 2:01

Mujhe dekh log afsos krte hai,
Mere guzre Kal ka zikr krte hai,
Main to bas zindagi k Saath chal raha huin,
Shayad meri shaql pe mera dard nhi jhalakta,
Ab kya kahuin Kisiko main,
Main to apne andar dard ka sailaab le rakha huin…!!

-


23 MAR AT 15:55

Kisi apne ko khoke jeena bhi kya jeena hai,
Jiske Saath thi saari khushiyan,
Jiske hone sey durr rehte saare gam,
Aaj uski Parchayi bhi nhi humpe,
Na Jane kyun hi jee rahe hum..!!

-


16 FEB AT 3:40

Na main soya huin aur na hi so paunga,
Apni iss bechaini ka main kuch na kr paunga,
Darta huin kahin main kuch galat kr jaunga,
Jinke liye jee raha kahin unko tanha chodh jaunga,
Chal kya raha mera Saath kaise bataun ab,
Na Jane kaunsi gehri khaayi main huin,
Na Jane Kiski talash mein huin,
Ab manzil ka soch k bhi darne laga huin main..!!

-


14 FEB AT 3:33

Rulaya hai sabko ki ab Hansa nhi paunga,
Dard jo diya hai ussey kabhi bhula nhi paunga,
Mere apno ko main aise Tadpta na dekh paunga,
Kuch bhi nhi mere bas mein main to tanha akela,
Meri manzil Abto puche kya hai ant mera,
Talash hai mujhe uski jisko khoya hai Maine,
Shayad maut aane k baad hi wo mile…!!
Shayad maut aane k baad hi wo mile…!!

-


14 FEB AT 3:23

Jis bhi din na mile khabar meri,
Samajh lena bahut durr nikal Gaya huin,
Khayalon ko apni ab manzil samajh raha huin,
Apno ki Khushi k liye main bikhar Gaya huin,
Meri talash mein na jana kahin bhi tum,
Main to apne akhiri safar mein chal raha huin..!!

-


14 FEB AT 3:16

Gum sey hui hai kuch aisi dosti meri,
Abto Zindagi Khafa har roz hoti,
Akelepan ko apna humsafar bana raha,
Andhere mein khud ko khota ja raha,
Raha na kisika aitbaar ab mujhpe,
Main to khud ko dafnata ja raha,
Intezaar hai lamba phir bhi ada huin,
Main to apni Maut ki talash mein huin..!!

-


Fetching Irshad Khan Quotes