Irfan Siddiqui   (Ali Siddiqui)
58 Followers · 34 Following

Life is beautiful... ☺️☺️
Joined 18 March 2020


Life is beautiful... ☺️☺️
Joined 18 March 2020
14 AUG 2020 AT 16:31

Mukadma ishq ka chal rha tha,
Mera mehboob mujhse bichad raha tha,
Us ki doli uth rahi thi shamiyana se,
Yaha mera janazah chal raha tha.

-


10 AUG 2020 AT 23:39

Bekarar dil ko bus tera hi intezaar hai,
Jaan toh kab se teri hai dhadkano par bhi tera hi ikhtiyaar hai,
Un saanno se pocho jis me khushboo hai tere naam ki,
Hume toh teri surat kya teri ruh se bhi pyaar hai.

-


7 AUG 2020 AT 11:34

Zindagi gum toh deti hai khushi k pal nhi deti,
Kisi k has k baat karne se taklife kam nhi hoti,
Lagaye hai kahi tohmate is Jahaan ne meri jaan par,
Jab fursat mili toh khuda ki di hui taklife kam nhi hoti.

-


25 JUL 2020 AT 22:37

Teri yaado ko yaad kar k mai ne ek cigarette kya jala dali
Cigarette k dhue ne bhi teri tasweer bana dali,
Kaise reh sakta hu mai tere bagair yeh sonch kar toh dekh,
Tere milte hi toh khuda ne meri taqdeer bana dali.

-


18 JUL 2020 AT 22:34

Mere sar se lekar paon tak jism mera kaap raha tha,
Jo bana phirta tha tera dost wo rishto ki hade kaat raha tha,
Bahar thandi thi phir bhi pasina mere mathe par tha,
Jab koe apna hi gairo k saath rate Kaat raha tha

-


13 JUL 2020 AT 0:12

Beshak mai bhi ab inteqaam lunga,
Chahe jo ho jae kabhi labo se tera naam na lunga,
Tu bhi tarse gi mere muh se apna naam sunne ko,
Tujhe se door reh kar bhi dhadkano ko teri mere naam kar lunga.

-


27 JUN 2020 AT 20:03

Hawas mai aurat k pair chaat bhi leta hai woh,
Woh pyaar mai khud ki jaan bhi le leta hai woh,
Wafa kar kar bhool jana us ki aadat hoti hai,
Na jane q bewafa se ishq har baar kar leta hai woh.

-


26 JUN 2020 AT 23:51

Hawas ko ishq mai kabhi shamil nhi kiya,
Teri har khata ko dil se hamesha maaf kiya,
Tere Pyaar k khatir tadapte rahe ta umar bhar,
Teri bewafi ko kabhi sare bazar nilaam nhi kiya.

-


26 JUN 2020 AT 13:43

Kis ehtamaam se hum din tamaam karte hai,
Sote nhi hai bus tumhe hi yaad karte hai,
Tere chehre par yeh udaasi q hai ai jaan-e-wafa,
Tujhi ko dekh kar toh hum din ki shuruaat karte hai,

-


19 JUN 2020 AT 23:50

Kisi ko teri ankho ne kisi ko teri adaao na maar dala,
Jo bach gae use tere husn k jalaal ne maar dala,
Hum toh tere dil k talab gaar hue baithe the is Jahaan mai,
Hume toh teri berukhi aur teri bewafai ne maar dala.

-


Fetching Irfan Siddiqui Quotes