Hadd se zyada muhabbt
Hai wajah bichhadne ki
umr bhar sameta use
Jiski fitrat thi bikharne ki-
Irshad Malik
Talo me band kamra ho jaise
Ye pagal dil gumrah ho jaise
Yun chalte hain sath sath mere
Khayal uske humrah ho jaise-
Kuch badsalooqi hui, kuch badghumani hui.
Bas yunhi khatam,
Uski aur meri kahani hui.-
Ab dil chahe mar jaye ya nasaaz ho
Meri zaat mere ishq se Ab tum azaad ho
Befiqr ho jao, ab koi rok tok nahi
Mai apni hdd me hun, ab tum azad ho
Mere siwa tumhe koi bhi na dekhe
Ye ek zulm tha, ab tum azaad ho
Zanjeer e ishq nhi, fizool ki fiqr nahi
Niklo is ghutan se, ab tum azad ho
Naye shehar ki nayi soch me ho
qaid-e-ishq kya jano, ab tum azad ho
Hirs o hasad, khudparasat, laparwah ho,
Mubarak ho aye nadaan, ab tum azad ho-
Tere gham ne mera honsla tod diya warna
Irada krke baitha tha ke dunia jeet lunga-
Har mumkin jagah uski
raah dekh kar
Main so hi jata hun
use soch soch kar-
Manzil hasil krne ko ek ek kadam zaroori hai
Zindagi khushi se jeeni hai to gham zaroori hai-