Iqbal   (TAAHAT)
74 Followers · 44 Following

read more
Joined 19 August 2018


read more
Joined 19 August 2018
24 JAN 2024 AT 15:43

Justuju e zindagi hai k kuch sukoon e pal nikal lu.
Mushkil itni hai jaise k gahri darya se Lulu e kham nikal lu.
Kis qadar aarzu hai is aajizi k sath yarab.
Gar tu na samjhe to kahi main apna dam hi na nikal lu.
Ho ker majboor zindagi ab Kati patang si hai.
Ya yun kahu k kun fayakun e mazhar ki muntazir si hai.
Ab Jo loutunga to darr itna hoga is Dil par.
K shayad kabhi na hisab Karu kya khoya kya paya is par.
Justuju e zindagi hai k kuch sukun e pal nikal lu.
Mushkil itni hai jaise k gahri darya se Lulu e kham nikal lu.

-


14 DEC 2022 AT 11:00

Rishton me shararat ho to koi baat nahi
Rishton me siyasat hogi to mushkil hogi.
Rishte alfaaz ki gahrai bas kuch door talak.
Agar Pahunch sakti hai manzil to woh ahsaas hi ho hogi.
Mukhlis log rishte nibhane me lage rahte hai mar mar kar.
Matlabi log ahsaan jataane me lage rahte jee bhar bhar kar.

-


17 SEP 2022 AT 19:56

Zindagi tere taaqqub me ham
Itna chalte hai k marr jaate hain.

-


28 FEB 2020 AT 21:10

Tere soch ki sang dili teri aamaal kahti hai.
Tu nanga to nahi fir v nangi tujhe tere aamaal karti hai.

-


28 APR 2021 AT 23:51

Agar hai mout me kuch lutf to bas itna hai.
K iske baad khuda ka suraag payenge ham.

-


24 OCT 2020 AT 15:07

Sikha de koi jina mujhe jab bite lamhe peecha nahi chorti.
Sabr kahte jise kaise karte hai koi bataye mujhe.
dil itna mazboot v kaha jo uske tod jane se nahi bikharta.
Ham to jab haare the dil tab v ye dil bahut nazuk hi tha.

-


24 OCT 2020 AT 13:27

Khamiyon ko gin raha hu khud se rubaru hoker.
Jo aaino se zyada apno ne bayan ki hai.
Main door hu tujhse jaise door hu ab khud se.
Main mujasma hu ab galtiyon ka or galat rooh isme faqat tu hai.

-


26 SEP 2020 AT 15:43

Dil ab usse nafrat kar k v khush nahi hai.
Or log mujhe usse fir se mohbbt ka mashwira de rahe hain.
Uske ek alfaz ne mujhse usse nafrat ka v haq cheen liya.
Or log fir se uske saath mere sukoon ka dam bhar rahe hain.
Usko jo haq tha usne use istemal kar dikhaya.
Usse kah do ab kam az kam mujhse haq na jataye.
Kabhi ped se gire patte wapas ped per nahi lagte.
Nazron se gire log v fir palkon per baitha nahi karte.
Uska waqt tha usne bakhubi istemaal kiya.
Maine apna waqt allah ko diya woh behtar istemal karega.
Rishton ki paas k khatir maine pair v pakda apne bande ka.
Mere allah ne ye nazara v dekha apne bande ka.
ab khudara woh mujhe dobara woh din na dikha.
Tu mera khuda hai tu apne samne hi mera sar jhuka.

-


23 SEP 2020 AT 15:40

Fir se woh rishta paida kyon kare ham
Bichadna hai to jhagda kyon kare ham.
Khamoshi se ada ho rasm e doori.
Koi hangama barpa kyon kare ham.
Haan ye kaafi hai k ham dushman nahi hain.
Par ab kisi wafadari ka dawa kyon kare ham.
Wafaa ekhlaas jazbaat ahsaas qurbani muhabbat
Ab in lafzon ka peecha kyon kare ham.
Zulaikha e surat wa badan jaana baat ab bas ye hai.
K ab bhala ghate ka souda kyon kare ham
Ab hamari hi tamanna kyon karo tum
Ab tmhari hi tamanna kyon kare ham.
Jab Kiya tha wada lamhon me sochkar tmse.
To saari umar dard bardasht kyon kare ham.
Nahi dunya ko jab parwah hamari
To fir is dunya ki parwah kyon kare ham.
k Nangi hi ho jab sare bazaar to tum to kya.
Ab fir bhala andhon ki lihaaz kyon kare ham
Hain bashinde isi dunya k ham v.
To khud per v kab tak bharosa kare ham.
Padi rahne do insano ki laashen yaha waha.
Zameen ka bojh ab halka kyon kare ham.
Chaba le kyon na khud hi apna jism ka dhancha
Tmhe apni zindagi ka saath ab mohaiya kyon kare ham.
Woh basti hai musalmano ki basti
Waha ab khuda kyon bane ham.

-


13 SEP 2020 AT 15:06

Mere hisaab se usne hadd paar kar di.
Ab intezar hai mujhe uske hisaab se uske hadd paar karne ka.
Ab itna kamzor v ham kaha rahe murshid.
Dekhte hain mujhe girane k liye woh khud ko or apni abru ko kitna girata hai.
Waqt hi to hai jo tere paas v hai or mere paas v hai.
Is waqt me dekhte hain waqt kya gul khilaata hai.
Kya kisi mare hue ko maarta hai ya kisi zinde ko dafnaata hai.

-


Fetching Iqbal Quotes