Ink Drop   (Ink Drop)
57 Followers · 10 Following

read more
Joined 28 September 2018


read more
Joined 28 September 2018
13 MAR AT 22:48

Maa ka Ghar!
Is muskuraate mahaul me,
Kabhi kabhi meri mulaqaat; mujhse hojati hai.

Puraane; bandh dabbon mein,
Bachpan ki meethi yaadein; khul jaati hain.

Aks apna; yahan ki deewaron mein bhi jhalakta hai,
Ye Ghar jaanta hai mujhe; bina kuch kahe samajhta hai.

Kisi kone mein daant; kahin shabaashi mili,
Yahan har hisse mein; ek khissa ek kahani mili.

Almaari se; jab samaan bikhar kar girta hai,
Guzra har lamha; ek lamhe mein;
aankhon ke saamne guzarta hai.

Har hasi, har aansun,
har darr, har fikr ka jahan basera tha,
Ab Maa ka kehlata hai,
"Ye Ghar" ; jo kabhi Mera tha...

-


10 MAR AT 17:33

Thaka deti hain; zindagi ki Uljhanein SyaHí,
Warna hum hain; bade hi Suljhe mizaj ke...

-


10 MAR AT 17:05

Na jaane kyun; ab Jeene ki aas nahi,
Aaj kal; Mizaj bhi kuch khaas nahi.
Tanz-o-Taanon ke beech; kisi ko kisi ka lihaz nahi,
Chup hain Ehtaraam mein; hum beawaaz nahi.
Shor se gunjti duniya mein; lehjon par koi libas nahi,
Sab saath hain saamne; magar peeche koi paas nahi.
Sookhti zindagi mein; murjhaate ko pyaas nahi,
Khafa hun khud se, Khuda se mayoos ya udaas nahi...

-


30 DEC 2023 AT 17:33

Yun bebas, koi aulaad na ho kabhi;
Ilm amal aamaal, yun majboor na hon kabhi.

Aazmata hai wo, ye toh yaqeenan hai;
Par aazmaish mein, walidaen tarazoo par na hon kabhi.

-


30 DEC 2023 AT 11:57

Mein ro leti hun, uske saamne;
Shayad yahi mohabbat hai.

Warna toh, jo sirf mere aur mere khuda ke darmiyan tha,
uss se lagi hoon baantne;
Shayad ab woh hi hai sukoon, usi se rooh ki raahat hai.

-


25 DEC 2023 AT 1:38

Jab cheekh nikle aur Awaaz na aye, 
Jab rooh kanpe par Nazar na aye.
Jab maa kehkar aansu; bas Dil hi mein bhar aye,
Jab aah nikle par Ashk na bahaye.

Tab lagta hai ki bachpan Guzar gaya,
Tab pata chalta hai ki ghar; Pihar mei reh gaya.
Tab rubaroo; apne Halaat se hoti hai,
Tab pehchaan; apne AAP se hoti hai.

Ehsaas hota hai tab,
Ki ye jo Wajood-e-Beti sehti hai,
Hai Mehfooz-o-Salamat jab,
Wo apne Baap ke ghar rehti hai...

-


25 NOV 2023 AT 0:26

Tasweer dekhi Kaaba ki, socha ke kaash aye khuda mein wahan hoti;
Tu mujhe bulata, mein tere rubaru hoti...

Apne shikwe sunaati, kuch bayaan-e-aarzoo hoti;
Kaash tu saamne hota, mein tere aage khoob roti...

Teri bereham dunya mein, tujhse rehem ki talabgaar hoti;
Apne aamaal-o-amal batati, apne gunah dhakk apne peeche, tujhse bacchon sa chupati...

Aansuon se apne, tera farsh bhighoti;
Tu sab dekhta, sab samajhta, sab sambhaal leta, mein sukoon se pursukoon hoti...

Kaash aisi bhi ek subah hoti;
Ki shaam tere saamne dhalti aur raat tere ghilaf ke sirhane soti...

-


26 OCT 2023 AT 23:35

Haari hui koshishein,
Ya khoyi khwahishein hain;
Zindagi ki kashmakash mein,
Uljhi asaaishein hain...

-


4 APR 2023 AT 1:16

And sometimes maybe the truth is better off unsaid,
Confrontations, confessions or closures;
Hit the worst on the days; it's least expected to be said.

-


3 MAR 2023 AT 12:27

On some days; there's so much noise around,
That even the silence within; begins to scream.

-


Fetching Ink Drop Quotes