Wakif hun
Tere har kidar ke pehlu se me
Tere haar baat ke alfaz se
Teri vo muskaan halki si
Or teri shantani si bari nazro se
Wakif hun
Jab tum apni baato me
Makhamali chadaar lapet te ho
Jise aksar aram mere tanah dil ko mil jaya karta hai
Wakif hun
Un chori kie jazbato se me
Tumare jo mere lie hoke
Mere naa hai
Dhikhawa hi sahi
Ye apnapan ka tumara
Par dil ko mere lubhata jarur hai
Tamasha se meri zindagi me
Rangat or ati hai
In jhute kirdaro se tere
Wakif hun
Anzaan nahi
Adakar hai tu
Or me kadardan teri
Wakif hun
-
vo laamhe uske sath jo beeteye the
patjhad k mosam k tarah
vo haseen yaade uski
aksar muge me jhad jaya karti hai
bikhri yaado me khokar
mera waqt tham sa jata hai
lagta ese hai
jese jee rahi hu vo pal uske sath me abi
khuli ankho se dhek rahi hu khawab me koi
-
yuhi nahi tut gaya me
barso ki mehnat hai waqt ki
han ab phele jesi himat nahi rahi
kismat se ladne ki
koi puchta h to aj bi jawab
mast hu me deta hu
kyuki ab vo baate shyad
me yaad bi nahi ane dena chahta hu
hannn me thak gaya hu
thak gaya khud se hi me
vo jazba ladne ka aj me khona chahta hu
gir kar ek baar me bi dil khol kar rona chahtu hu
ladna bewajah tha mera kismat se
honi manmani thi uski
khud ko me ye samja raha
zindagi jo chae vo karwa
tere har faisle ab nibha raha hu
-
Unke lie alfazo se khelna Sikh rahe the
Wo dil se khel gaye
Unke ishq ne toda be to ese
Ki Hum shyaar ban gaye-
Bhaut sukoon hai raat me
Ek ye hi hai Jo meri tanhai se jalti nahi
Nakaab odd k din me
Is duniya ke jhute kirdar nibha to leta hu
Par raat k chadar me khud ko me
Mehfuse pata hun
Thakan mare man Ki
Sirf ye raat janti hai
Kai raaz hai mare
Jo ye chupa leti hai
Meri khamosio ko
Ye muje se behtaar
Jaan leti h
Ek ye raat hi to hai
Jo muje apna manti hai
-
Duniya me dusre rasta Na bacha ho
Barbad hone ka
To pyar kar lo
Short cut h-