Imraan Khan   (shadab_writes)
139 Followers · 36 Following

read more
Joined 13 May 2018


read more
Joined 13 May 2018
31 MAY 2021 AT 20:03

Kabhi Ruk gaye!
Kabhi chal diye!
Kabhi chalte Chalte bhatak gaye!

Yunhi Umar sari Guzar di
Yunhi zindagi ke sitam sahey!

Kabhi Neend me, kabhi hosh me
Tu jahan Mila , tujhe dekh kr

Na Nazar mili, Na ZubaaN hili
Yunhi Sar Jhuka ke chal diye,

Kabhi Zulf pr , kabhi chashm pr
Kabhi Tere Haseen Wajood Par,

Jo Pasand thhe Meri Zaat me
Wo Shayr Saare Bikhar gaye,

Mujhe yad hai Kbhi ikk the hum,
Magr Aaj hum hai Juda Juda !!

Wo Judaa hue to SANWAR gaye
Hum Juda hue to BIKHAR gaye,

Kabhi Arsh par !
Kabhi Farsh par !
Kabhi Unke dar !
Kabhi Dar-ba-dar !

Ghum-e-Aashiqui tera Shukriya
Mai Kaha'n Kaha'n se Guzar Gaya !

-


30 MAY 2021 AT 0:46

Du'a Maangi thhi Jiske Liye Khushiy'Un ki,

Jaane kyun wo mere liye Dard ki wajah Ban gayi 😔💔

-


30 MAY 2021 AT 0:46

Du'a Maangi thhi Jiske Liye Khushiy'Un ki,

Jaane kyun wo mere liye Dard ki wajah Ban gayi 😔💔

-


1 OCT 2020 AT 16:36

Muqable ki Zidd kyun karte ho SHADAB,

Humne pehle bhi Kayi zamane ke Barham ToRey hein

-


30 SEP 2020 AT 18:55

Kuch tou kami rahi hogi aapki Muhabbat aye NAAZ,

Warna jo aapka tha wo aapko milke rehta.....

-


10 JUL 2020 AT 13:54

Sabhi Kehte hein AUR SUNAO, 🤔

Jab Suna Dete hein tou Muu Phula kr Baith jaate hein 😁😝😝

-


10 JUL 2020 AT 11:14

CharaghooN se na Puccho Ke Baaqi Tel Kitna hai,
Na hi SaansooN se Puccho Ke Baaqi Khel Kitna hai,

Puccho sirf Kafn me Sooye Hue Insaano se,
Amal Zindagi me ho tou Kafan me Chain Kitna hai,,,

-


10 JUL 2020 AT 0:49

Ta'areef Ke Mohtaaj nahi hein Apake Alfaaz bhi,
Ta'areef khud Ta'areef karti hai Apake Alfaaz ki,

تم حسن کی خود ایک دنیا ہو ،
شاید یہ تمہیں معلوم نہیں،
محفل میں تمہارے آنے سے،
ہر شے پر نور آجاتا ہے

-


9 JUL 2020 AT 20:49

Mai Bikaa Nahi Mai Jhuka nahi,
Kahin Chhup Chhupa kr KhaRa Nahi,
Jo Datey Hue hein Mahaz par
Mujhe Unn SafooN me Talash kar,,,,,

-


3 APR 2020 AT 15:22

یہ لاک ڈاؤن الله پاک کے اسم "القابض" (روکنے والا) کا مظہر ہے کہ ساری چیزیں تھم گئیں. اس کے بعد ان شاء الله اسم "الباسط" (کھولنے والا) کی تجلی کا ظہور ہوگا.

تنگی(مشکل) کے بعد فراخی(آسانی) ضرور ہوگی ان شاء الله
از :- حضرت مفتی احمد اللہ صاحب نقشبندی مجددی دامت برکاتہم العالیہ
خلیفہ مجاز حضرت مولانا پیر ذوالفقار احمد نقشبندی دامت برکاتھم

-


Fetching Imraan Khan Quotes