Udaas shayari karna mera zauq hai aur khush mizaaj rehna mera shock hai.
-
Nigaah ka adil woh shakhs hai
jise doosron ki maa, behen, beti mein
apni maa, behen, beti nazar aaye.-
Agar tum yeh jaan’na chahte ho ke ladki haqiqat mein kya kehti hai,
toh us se baat nahi,
balke uski aankhon mein dekho.-
Teri dehleez pe hoon, sab se alag baitha hoon
Deen se door, na mazhab se alag baitha hoon
Teri dehleez pe hoon, sab se alag baitha hoon
Bazm-e-habab mein haseel na hua chain mujhe
Mutma’in dil hai bohat, jab se alag baitha hoon
Ghair se door, magar uski nigaahon ke qareeb
Mehfil-e-yaar mein us dhaab se alag baitha hoon
Dhang ki baat keh koi toh bolun main bhi
Matlabi hoon, kisi matlab se alag baitha hoon
Yahi maslak hai mera, aur yahi mera maqam
Aaj tak khwahish-e-mansab se alag baitha hoon
Mera andaaz, Naseer, ahl-e-jahan se hai juda
Sab mein shaamil hoon, magar sab se alag baitha hoon
Deen se door, na mazhab se alag baitha hoon
Teri dehleez pe sab se alag baitha hoon
Main sab se alag baitha hoon.
-
Aurat ke baare mein yeh hi kaha jata hai…
tum usay khoobsurat kaho, woh khoobsurat hoti chali jayegi.
Tum usay acha kaho, woh achi se achi hoti chali jayegi.
Tum usay humdard, rahemdil, ghar ka khayal rakhne wali kaho
aur hass kar qurbani dene wali kaho, woh aise hi banti chali jayegi.
Magar jab tum us mein aib nikalte ho
aur chhoti si ghalti ko bohat bara chadha dete ho…
Us ke libaas, khane peene mein
aur roz marra ke kaam mein aib nikalna shuru kar dete ho,
aur usay zehni mareez banana shuru kar dete ho…
Phir woh har din ko apni zindagi ka aakhri din samajhne lagti hai.
Toh phir khud socho, woh us ghar ki aane wali 20 saal ki kaise mansooba bandi kar sakegi?-
Mera khayal hai ke..
Agar kisi ke saath rehna hai, to
us se thoda door door rehna chahiye.-
Mohabbat aur Majboori
Mohabbat kare aur nikaah na kare, aur majboori ka bahaana bana kar saath chhod de —
chahe woh mard ho ya aurat — yaqeen maaniye, woh insaan duniya ka sabse ghatiya insaan hai!
Mard doosri aurat ke chakkar mein bahaana banata hai — aise hi.
Agar mard mukhlis ho, to doosre ke paas paisa dekh kar mukhlis ko chhodti hai,
aisi shart rakhti hai jo woh mukhlis poori hi na kar sake.
Meri yeh baat kaafi logon ko chubhegi,
magar yeh kadwi haqeeqat hai.
Yaqeen maaniye — kisi ko koi bhi majboori nahi hoti,
yeh sab sirf bahaane hote hain.
Yeh nahi maan raha, woh nahi maan rahi,
yeh hoga, woh hoga — sab bas baatein hain.
Jis ne aap se dil se nibhaani ho,
woh har haal mein, har tarah se haazir rahega.-
Mohabbat ke baad bhi mohabbat mumkin hai, Adil…
Toot kar chahna sirf ek hi baar hota hai.-
Main ne kab kaha ke mujhe mohabbat hai…
Haan, magar
Teri aadat si ho gayi hai mujhe.-
Mujhe kiya khabar thee itni mohabbat ho jayegi tumse..
Mujhe to bas tumhara muskurana accha laaga tha..-