Kabhi alfaaz bhul jaun, Kabhi baat bhul jaun,
Tujhe is qadar chahun ki apne aap ko bhul jaun.
Kabhi uth ke tere dar se Jo jaun,
Jaate waqt khud ko tere pass bhul jaun......-
Wo ek shaks tha Jo bolta kuch nahi tha,
Magar mere Ghar me ghuste hi muskura deta tha....
Log khte the ki wo sunta smjhta kuch nahi,,,
magar aksar mere na lautne par puch leta tha....
Wo aakhri Safar lamba kuch yun ho gaya ki sar meri god me tha, lab khaamosh the or aankhein musalsal baatein krti rahi.....
Apne gharon mein zaifon ko waqt do ye na ho ki kl waqt ho or wo hi na hon......-
Khud pe jhannum ki aag halaal ki hai,,,
Tmse rishta khaak karke Maine.....-
Ye kaise halaat ban gye ki dil to Mubarak to de rha,,, magar zubaan ko ijazat nahi....
Happy Eid- ul- Fitr-
Ye Mera pehla ramzaan hai uske Bina,,,
Mat pucho kis munh se roze khole jaa rhe.....-
Kaise dikhti usko mohabbat meri,,,
Aksar aankhein nam hone pe wo chashmein saaf kiya krti thi...-
Surkh aankhein band bi kr lun,,,
To zimmedariyan sone nahi deti ab....-
Hum adhoore log hain,,,,
Hamari na needein Puri, na khwaab pure β€οΈ-
Teri khushiyon ka sabab yarr koi or hain na,,,
Dosti mujhse or pyaar koi or hai naπ-