Huda Syed   (Hp_says)
2 Followers 0 Following

Joined 9 May 2019


Joined 9 May 2019
21 SEP 2022 AT 23:57

Aap hai mere walid jinka saya hamesha meri fikar karta hai
Mohhobat ka libas pehne nasihat ka zariya banta hai

Hu me aapki izzat aur ye baat muje apne izzat e nafs se bhi pyaari lagti hai

Me apki aankho se apke khwab janti hu
Ap bayyan naa bhi kare to apke haal ehwal aur khayal janti hu

Mere Humsafar me bhi me apko talash karna chahati hu
Duniya ki har say se jyada apko azeez manti hu
Meri zindagi ke har makaam pe aapko aala rakhti hu

Maa se jyada aap se baate karti hu
Har vo veham vo sapne aur apne dilo k haal bayan karti hu

Bete se jyda mere laad uthate hai
Izzat va ehtram se bulate hai
Kuch aur na sahi Allah se bas acha nasib mera mangte hai

Me chahti hu aap jesa banna
Me chati hu hashr me aapka sar uncha karna
Me chahti hu aapki rehmat banna
Me chahti hu bakshis ka zariya banna

Aapki tabiyat ta umar yaad rakhna chati hu
Aapki tarah kitaabo se lagav karna chahti hu
Aapki tarah alfazz jodna chahti hu
Aapki tarah uljano ko suljana chahti hu
Me hubahu aapki parchai banna chahti hu!!♥️

-


10 MAR 2022 AT 17:53

Hum kab bikhre aur kab sawar gaye
Zamane ko khber tak na hui,

Gunah chupaye ese Allah ne
Ki nakiya bhi sharminda hui

Mera imman kamzoor hai Allah
Isko meri bagawat na samjna
Iss gunaho ke daldal me muje pareshani bohot hui

Mein gunehgar hu , inassan hu
Teri chaun ki talabgar hu
Muje gunaho se bacha mere andar k firoon ko fatah na dena,
Der se hi hui par hamari subah hui

Apne maazi ke kabristan ko mustaqbil ki zameen nahi banana chahti
Tauba kar ke bhi vahi galti mujse baar baar hui.

Meri nekiya kam hai Allah par meri nadamat ko naiki ka makam dena. Fatah hui naa hui
Iss safar me aazmaish to zarur hui

Samaj nahi aata me naik hu ke nahi gunehgar hu itni khber hai muje
Muje bacha uss galti se jo baar baar mujse hui

Samj nahi aata mera nafs mere bas me hai ki nahi magar he yakeen momeen hu ki sabr ki naimat tujse hasil hui!!

~ Huda

-


19 AUG 2021 AT 16:37

Zulfein khuli dekhi to sadqay vaare,
Utha ke nazer har baar dil haare,
Aankh ke deed se hi ruhh k haal jane,
Himaqat hui to mananae bhi aaye,
Apni chaht ke hudood bhi bataye,
Phir jane kitni baar dil ko bhaye,
Un Adab, lihaz, izzat se muje pukare,
Wo "Aap" kehnke har baar muskaye,
Narazgi se meri itna gabhraye,
Aanshu dekh jaan nikal aaye,
Phir bhi hum har bar itraye,
Aur vo chahat se hame samjaye.

-


4 MAY 2021 AT 2:51

Niyat khuda behtar jane
Phir bad'dua asar hi kya kare
Dua dene wale beshumar
Phir hum fikar hi kya kare
Aakhirat sajane wala sartaj mile
Phir duniya ki ulfat ka kya kare
Uske badolat soch se pare izzat mile
Phir uske bagair hum kya kare
Khuda behtareen sochne wala hai
Phir behatar ki talash kya kare
Us jesa na koi dekha na jana
Phir na shukri ka aelaan kya kare
Jo mile unhe sar aankho pe rakhe
Na mile unka intezar kya kare

~Hp_syed


-


3 MAY 2021 AT 22:38

Khuda ke ghar me aapki wiladat
Khuda ke ghar me aapki sahadat
Aapka tashrif lana bhi Aala
Aapka tashrif lejana bhi Aala ❤️✨

-


Seems Huda Syed has not written any more Quotes.

Explore More Writers