Hrushikesh Prusti   (Hrushikesh)
36 Followers · 14 Following

Sapna hi kuchh aisha hai
Joined 8 January 2020


Sapna hi kuchh aisha hai
Joined 8 January 2020
17 APR AT 19:37

Ek muskan , ek pehchan ek ajnabi ehsaas sa hai
Dur rehti baht mujhse na jaane kyun paas sa hai
Uski hasi uski khusi ek aagaz sa hai
Na jaane woh kaisa hai magar khaas sa hai
Shurat uski bholi si hai aawaz uski mithi goli si hai
Had nahin uski baaton ki par har baat pe naaz sa hai
Dur rehti baht mujhse na jaane kyun paas sa hai
Soti nahin woh khwabon mein milti hai jawabon mein
Meri doobti kashti ka patbar sa hai
Dur rehti baht mujhse na jaane kyun paas sa hai
Natkhat uski adayein hai khuli uski baahein hai
Kya ye naye yug ki aagaz sa hai
Dur rehti baht mujhse na jaane kyun paas sa hai .

-


16 APR AT 16:47

Aisha kya hua tha ush 45 ghante mein ki
Lagta hai ki waqt ne sab kuchh badal ke rakh diya ho .

-


16 APR AT 12:55

Jab dimag mein kuchh na kuchh chalta hai na
Tab na kuchh kar pate hai nahin kuchh hota hai
Na kuchh soch pate hein aur nahin kuchh karne ka mann hota hai .

-


27 MAR AT 16:41

Kismat kismat ki baat hai

Koi kuchh na karke bhi sab kuchh paa leta hai
Aur koi sab kuchh karke bhi kuchh nahi pata .

-


20 FEB AT 19:06

Woh kisi aur ki hogi janne ke baad pyar aur bhi badhta hai
Dil mein dard baht hai phir bhi muskurana padta hai
Pyar ka matlab pana yeh toh log batate hai
Asal mein pyar ka matlab dena yeh toh Shree Krishna batate hai
Kismat ke mare hai isliye ish janam mein na sahi agle janam ke liye dua karte hai.

-


9 FEB AT 11:05

Waqt mein uljhe sapno mein
Pyar mein dhalte lafzon mein
Woh chocolate wali mithaas kahin baki hai
Beete chanchal bachpan mein
Indradhanus se rango mein
Woh taje gulab sa laal rang kahin baki hai
Ish pal ki udaasi mein
Ya sham si ubaasi mein
Kuchh bhule nabzo sa woh ishq sa ehsaas kahin baki hai
Pyar mein dhalte lafzon mein
Kuchh ehsaas abhi baki hai.

-


8 FEB AT 9:07

Kitna muskil hai na izhaar karna
Dil mein dabi hui baaton ko unse bayan karna
Bepanah jazbaat hone ke baad bhi
Un sab ehsaason ko chhupana
Kitna muskil hota hai na
Kisi ko khud se bhi jyada chahna or phir bhi na bayan kar pana
Kitna muskil hota hai na unse nazre milana
Aur phir bin bole unse dil hi dil sab kuchh keh jaana
Aisha toh nahin unhe khabar nahin hamari
Lekin phir bhi woh yun anjaan se bante hai
Aur hume yunhi ish qadar paresan sa karte rehte hai
Kya itna muskil hota hai kisi ko batana ki hum unse kis qadar pyar karte hai
Koi toh bataye ki kaise izhaar karte hai
Kisi ke dil ko kaise yun bekarar karte hai
Hum kaise bayan kare ki hum unse kitna pyar karte hai .

-


7 FEB AT 0:20

Unhe laal gulab dene ki kosish kiye
Magar de nahin paye
Pata nahin kahin ish zamane ke bheed mein woh kho gaye
Dhundne ki baht kosish kiye
Magar woh nahin mile
Aj saath toh hai magar dur baht hai
Ish baar bhi prayas karenge woh gulab dene ki
Chahe unko de ya phir unki tasveer ko de.

-


7 FEB AT 0:06

Tumhe agar gulaab dena ishq hai
Toh ish seher ki sari gulaab tumhare charano mein rakh denge
Agar tumhe gulaab ki tarah rakhna ishq hai
Toh tumhare paon ko in gulaab ki kanto se bacha bhi denge.

-


6 FEB AT 18:28

Dimag mein chal raha toofan ko kaise saant kare .
Kisiko sunaye ye dil aur dimag ki kahani
Hum batane ki kosish kare toh koi sunne ke liye taiyar nahin.
Aur jab kuchh hojae tab bolne ke liye char log jaroor aa jate hein.

-


Fetching Hrushikesh Prusti Quotes