HRS   (HRS_writes✒️)
683 Followers · 222 Following

read more
Joined 10 April 2020


read more
Joined 10 April 2020
3 SEP AT 23:06

Kore kagaz sa ho chala hai zehen mera
Kalam utha kar likhna bhul jati hu

-


20 AUG AT 1:25

Hasrat meri tere balo ka gulab banne ko hai
Tu jo lagati hai apne labo se vo beshkimti sharab banne ko hai
Na dekh yu pyaar se meri jaan kisi or ko
Meri hasrat tere ankho ka aftab banne ko hai
Mujhe rakib bana diya tere ishq ki hasad ne
Mere khawab to tere ishq ka gulam banne ko hai

-


25 JUN AT 22:42

Behusn benoor berang
kya rakha hai iss chehre me jo dikhane ke kabil ho??

-


10 MAR 2024 AT 0:14

Vo urdu zuban uski vo lehja vo ada uska
Vo haya uski dupate me chip ka sharmana uska
Vo ankhon ki chamak uski hotho me kalam dabana uska
Vo likhawat uski or likhte likhte khayal me kho jana uska
Vo surili awaz uski or Misre misre jod kar mujhko gazal sunana uska
Mera uski gazal me dub ke khojana
Naram lehje me "kaha kho gye" keh ke khayalo se jagana uska

-


14 AUG 2022 AT 16:42

Suna hai ki Kitabo me uljane wale log
Aaj kal kisi ke Khayaalon me uljh baithe hai

-


17 MAY 2022 AT 23:28


KAHO TUM KYA KARONGE

Mere lafz khalte hai kya tmhe to batao kya karonge
Zuban pe to laga skte ho tala meri soch ka kya karonge
Hath to cut donge hamara par zuban ka kya karonge
Aur gar cut di zuban bhi to zehen ka kya karonge
Aur gar cut hi donge mera gala to apni kano me gunjti meri awaaz kya karonge
Phaad donge ya jala donge kaho meri likhawat ka kya karonge
Ha maar to donge beshak mujhe tum mai rahungi hmasha zinda tumahre zehen me
Tadponge mere lafzo se tum kaho phir meri yadon ka kya karonge
Magonge maut khuda se gar vo bhi na aayi to kaho khud ka kya karonge

-


6 APR 2022 AT 16:31

Unke dar se ab simat kar aansu bahaya nhi krte
Jane wale jaa chuke phir vo laut ke aaya nhi krte

-


6 APR 2022 AT 16:22

Lag raha tha jo ye naya sheher yaha mujhe koi purana mil gya
Dil lag nahi raha tha tujhe se mil kar rukhne ka bahana mil gaya

-


19 MAR 2022 AT 23:49

Mere ansu poch tu bas muskura dena mai teri hasi me has lungi
Jin ankhon se tune zamana dekha mai teri un ankhon se duniya dekh lungi
Tu waqif to hai na meri har taqlif har ek pareshaniyo se
Pata hai kami hai lafzo ki hamare pass tu mera naam likh
mai bas tera naam likh lungi

-


19 MAR 2022 AT 22:05

Iss safar me na nind na sukoon na chain na tum
Bas hum hamara samaan ye tanhai or sirf bechaini hai

-


Fetching HRS Quotes