People who can’t afford high standards often end up mastering double standards!
-
My heart is a thousand years old. ❤️
I am an Old Soul too.. 🙈
Urdu love... read more
Like a tree,
I have shed all my leaves over the past few autumns,
Never to witness the spring again…
But I believe, trees without leaves are nothing but art.-
If someone thinks highly of you or holds you in high esteem,
it doesn’t mean that they should or would put up with
your lowly opinions of them.-
Wo ek chehra maine har ik tasveer me dekha hai
Shikast-e-wafa haathoñ ki lakeer me dekha hai
Jo roshan hua karta tha kabhi chhat pe meri, use
Jugnu ban chamakte kisi or ki taqdeer me dekha hai
Khwaab ki tarah utra tha kabhi aankho mein
Aksar pāni ki tarah behta jise tābeer me dekha hai
Socha mita duñ zindagi ki har ghazal se use
Par maine use duniya ki har tehreer me dekha hai-
Bas kuch khwaab hain jo noor-e-chashm hain
Warna raat ki tareekiyoñ se nikalna mumkin kahañ-
Zehen me uljhane
Andar mere shor bahot hai
Chup hu duniya ki khatir
Logo ke dil kamzor bahot hain.-
Qareeb se hokar, anjāñ se nikalte gaye
Aaina wahi raha chehre badalte gaye
Machalte the yunhi har baat par jo
Armāñ wo apne aap hi sambhalte gaye
Tamanna thi dil ko nayi seher ki magar
Log to aksar shaam ki tarah dhalte gye
Raat ki gehrai me jo güm na hue
Wo khwaab saari raat fir jalte gaye
Dil ke aashiyaane kaagaz se ho gaye
Aankhoñ me nami hui or wo galte gaye
Zara si larzish hui aur tamām armaan
Dheere dheere rait jaise phisalte gaye
Qurbañ hoti rahi dusro ke liye ‘hina’
Rang ke liye log bar bar kuchalte gaye-
ख़िज़ा का आलम है, पर दिल बंजर नहीं है
क्या होगा आगे बस इस बात का डर नहीं है
बहुत करीने से काटा है नफ़्स-ए-इश्क़ को
चेहरे पे नदामत है, हाथ में ख़ंजर नहीं है
फ़क़त जिस्म जले तो मुमकिन है बचाना
दिल की आग बुझाए ऐसा समंदर नहीं है
लोग कहते हैं वक्त सबसे बड़ा मरहम है
पर वक्त से बढ़कर कोई सितमग़र नहीं है
यूँ तो ब-ज़ाहिर लोग अपने हैं कहने को
किसी को अपना कह सकूँ ऐसा घर नहीं है
निकले हैं आज हम मंज़िल की तलाश में
दो राहे पर खड़े हैं पर कोई रहबर नहीं है-