JIS ROZ MATLAB THAAA,
USS ROZ TOH TUM SAREYAAAM HO GAYE,
USSI SUBAH KUCH AUR THEY,
KUCH AUR, USSI SHAAM HO GAYE
-
Vaise Toh, Yeh Zindagi Kya Kya Sikhaati Nahin,
Yuhn Hee Beeet Jaati hai,
Magar Chaahti Kya Hai,
Yeh Kabhi Bataati Nahin.
TaUmr Koshish Karta Hai, Insaan Isse Samajhne Ki,
Shaayad Kisi Ko Bhi, Yeh Samajh Mein Aaati Nahi.
-
Khud Ka Ik Farmaan Liye Baitha Hun, Ki Teri Talaash Ka Ik Armaan Liye Baitha Hun.
Kaisi Kashmakash Hai, Ki Shaayad, Tu Saamne Hai , Magar, Nazar Aata Nahin,
Dikhta Nahin Tu Dekhne Parr, Parr Hum Jaison Ko , Kya Kya Tu Dikhaata Nahin,
Apne Sarr, Teri Mohabbat Ka ilzaam Liye Baitha Hun, Iss Zindagi Mein,
Apne Liye Ajab Sa Imtehaan Liye Baitha Hun.
Khud Ka Ik Farmaan Liye Baitha Hun, Khuda! Teri Talaash Ka Ik Armaan Liye Baitha Hun
——— H.S.P. ARORA ———
-
UNKI FITRAT MEIN THA, UNKI FITRAT MEIN THA, BASS KURSI KO AADAAB KARNA
HUMEIN AATA NAHIN YUHN RISHTON KO BEWAJAH KHARAAB KARNA
YEH KAHAAN KA INSAAF HUA, YEH KAHAAN KA INSAAF HUA,
HAMAARI BAAT PAR GAUR ZARA JANAAB KARNA
KI JINSE GANIT SEEKHA HAI, UNSE CHAAHTE HO TUM HISAAAB KARNA
-
Khayaalon Hee Khayaalon Mein,
Kuch Aise Jhool Gaye.
Ki Jo Baat Unko Kehni Thi,
Unko Dekhte Hee Kehna Bhool Gaye.-
Haqeeqat Samajhne
Mein Der Mat Karna,
Varna Haqeeqat
Badalne Mein
Der Nahin Lagegi
~AroraJiOfficial-
GHAR MEIN RAHE,
TOH SHAAYAD KUCH KHAAS BANN JAAOGE
BAAHAR NIKLE,
TOH SHAAYAD ITIHAAS BANN JAAOGE-
Vo ik Mulaaqat Abhi Baaki Hai, Jo Shaayad, Auron Se Juda Si Hogi,
Vo ik Mulaaqat Abhi Baaki Hai, Jismein Saazish Koi Khuda Ki Hogi .-
Ki Har Koi Dekh Raha Tha Bass Unki Taraf,
Aur Hum Mashroof They, Hum Mashroof They Yeh Dekhne Mein,
Ki Aakhir
Unki Nigaahein Kis Taraf Dekh Rahi Hain.-
Zindagi Mein Yuhn Toh Humne Kya Kya Dekha Nahin,
Magar ik Ehsaas Hai Uske Hone Ka,
Yuhn toh Humne ,
Khuda Dekha Nahin !-