Himanshu Agrawal   (Shadow)
72 Followers · 87 Following

A 9-5 dweller, walking down a path alone with too many friends...
Joined 10 March 2017


A 9-5 dweller, walking down a path alone with too many friends...
Joined 10 March 2017
21 FEB 2021 AT 14:47

Ulajhte Ulajhte pyaar k inn dhaagon mai itna ulajh gya hun
K ab jab samjha hun to sulajh bhi nahi skta...

-


6 JUN 2019 AT 0:48

Aur Shayad phir
Wo jazbaat bhi laut aayein
Wo alfaaz bhi sambhal jayein
jab Wo humein mil jayein.....
Shayad...

-


20 MAY 2019 AT 14:57

Nashe mai izhaar karne ka bhi kya faida janab
Khumaar to tumhara nashe ke saath hi utar jaaya krta hai

-


10 APR 2019 AT 0:41

Suraj ki pehli kiran jaisi hi to hai hasi tumhari,
jo mere raat bhar k chaye andhero ko mita deti hai,
Halki si garmahat bhi leke aati hai apne saath mere seele hue jazbaaton k liye
.
Laali jo aane se hoti hai aksar usi ko pehne rehta hun apne chehre pe jab tum saath hoti ho,
Chanak jo uske jaane k baad rehh jati hai usi ko saath mai leke chalta hu jab tumse door jaata hun
.
Wo subh k suraj ki pehli aahat jaisi hi to hai tumhari aabha, jo mujhse bahot door hai mai phir bhi usi main khoya rehta hun,
Wo halke kohre se jhankti hui roshni jaisi hi to ho tum jise mai hamesha apne saath chahta hun
.
Uss halki sard subh mai garm chai k jaisa hi hai mere liye tumse baatein karna jiske bina mai rehh nahi pata..
Par uss chai ko rang dene wali patti ki tarah bhi hain kch baatein jo tumse kehh bhi nahi paata..
.
Iss abhi abhi guzri hui raat mai maine phir se wahi khwaab dekha aaj bhi,
Ki kabhi meri bhi raat mai ye subh hogi
aur uss roz tum mere saath hogi...

-


15 MAR 2019 AT 14:00

Alfaazon ki zanzeer mai uljha hua tha ye dil mera
Ek muskurahat ne unki kuch iss kadar riha kia hume
k
humare alfaaz bhi ab bas unhi ki kahani banke reh gye...

-


10 JAN 2019 AT 19:25

Zehan mai mere ye sawal to kitni hi dafah aata hai
ki itna laparwah kaise ho gya mai...
Par
Phir jinke zikr bhar se dhadkanein tezz ho jati hai
unpe ye dil bhi kaise na haarte

-


31 DEC 2018 AT 15:04

Khayalon ke apne iss khalipan se jab bhi poocha maine ki kiski darkaar hai tumhe..
Naam bas tumhara hi aaya inme..
Tanhayion ke iss mausam se jab bhi poocha maine ki intezaar kiska hai tumhe..
Zikr bas tumhara hi aaya..
Jhanka jab bhi dil mein apne
ek soonapan sa tha waha..
Usko bhi tumhara hi intezaar hai..
Ab to aisa lagta hai ki mujh mein mere se jaada to tumhara intezaar hai..

-


27 DEC 2018 AT 15:17

When you think not to think of the things you could have done..
When you think not to think about the nights you could have slept..
When you fail to forget. Again..

-


30 NOV 2018 AT 12:50

Faaslon ka manjar kuch aisa hai k
ab pass hote hue bhi mahaz dooriyan hain mere hisse mai

-


1 NOV 2018 AT 13:42

Jo noor utra tha tumhara meri in aankhon mai
Sochta hun kabhi kabhi k
na jaane kab tak
wo mere andheron ko mitata rahega

-


Fetching Himanshu Agrawal Quotes