A routine duty of defecation.
(Driving cause- My dog. When he was a puppy, he didn't have the patience to poo and then run.)
Read in caption-
Experience a walk of 25 min. Empty headed, legs walking, ...and mind counting the end of seemingly dead long journey.
(A sigh of relief in the end)-
Chalo pal do pal ke shaayar bnti hun, thoda tod marod kr haal sunati hun
(Read in caption)-
Iss duniya me "naakaamiyaabi" bdnaam nhi hoti hai lekin "naakaamiyat" ek "bhalaayi" ko naakaamiyaab kr jaati hai.
Bura insaan nhi, bura ek insaan ki uljhi hui soch use bnaa jaati hai.
Jalta hai wo aur bolta hai ki dekh "wo insaan" kitna khush hai...khush naseeb hai wo to
Jo ki sach ye hai ki "insaan" ki zindagi ki kashmakas uss "naakaamiyaab" ki aankhon ko dikhi nhi.-
||IT's PLASMIC||
||AAKHRI VAAKYA||
Kuch waqt ne sikha diya...
Zindagi se jab gila ho to jaan lo tum iss zindagi jeene ke kaabil ban rhe ho..-
Chalo aaj apne liye kuch krte hai
Bhut hua uska intezaar krna, usse baat karne ke liye din bhar khud se he guftgoo krna
Bs bhut hua ab uski choti choti baat ko smjhkar uske liye khwaab bunna
Chalo aaj apne liye kuch krte hai
Khud se gussa hokar khud he ko manate hai
Chalo aaj apne liye kuch krte hai...-
Doori me bhi pyaar hota hai..
Jab har sapne me usse izhaar hota hai..
Yaad aata hai wo hawa ke saath
Aur uss har sukoon ki saas ke saath aayi muskuraahat ki wajah hota hai...
Ha doori me bhi pyaar hota hai.
Jb apna har aansoon uske kaandhe pr rone ka mann krta hai..
Din ki har choti bdi baatein use sunaane ka mann krta hai...
Uske liye apni neendein bhulaane ka mann krta hai...
Ha doori me bhi pyaar hota hai.-
||DAAYAREE||
Kisne kha me bhula doongi?
Kisne kha uss mulaakat ko me guma doongi?
Maana ki bs ek aur panna tha wo, jise pd liya tune aur maine bhi
Maana ki mausam haseen tha, waqt ruka sa aur hasee otho pr sajee;
Ha maana maine uss tarah se rukna mera, achanak se peeche mudkar tujhe dekhna mera juda tha meri soch se...
Aankhon me tu aur shabdon me wo tha mere...
Lekin kisne kha tujhse me uss mulaakat ko bhula doongi, bs sajda bna doongi?-
Kitna ajeeb hai na ..
Ye waqt hai ki rukta he nhi
Har pal ek naya ahsaas hai
Har din ek nayi shuruaat hai
Lekin phir bhi yaadon ka saath hai
Jo har kl se jode rkhta hai mujhe..-
Ha jaana jaana jaana maine
Socha bhi bhut
Lekin smajh nhi aata hai aaj bhi ishq ka dastoor.
Kyun aankhen churaane ka mann krta hai hr chahre se mera
Kyun bhool jaane ka mann krta hai hr saath poorana
Kyun dil krta hai bs saath ho to inn raho ka aur mera
Kyun phir bhi dil krta hai kisi ke kaandhe pr khud ko bhulaane ka
Kyun dil krta hai...kabhi to ishq ke dastoor se rooba rooh hone ka.-