Milta tha wo bhi mujse,
Jatata tha mohbbat apni,
Kiya karta tha waadein hazar,
Daave karta tha duniya se ladne ke,
Aai fir se lehar gumo ki,
Toot gayi me phir ek baar,
Chhod gaya wo fir ek baar,
Nahi bewafa nahi hai wo,
Shayad ummedein meri galat thi,
Ha kaha tha usne pyaar hai mujse,
Daave kiye the duniya se ladne ke,
Jatai thi mohbbat apni,
Mila karta tha raste ke har mod par,
Par ye kab kaha tha ki nibhaunga akhri pal tak,
-