Mai Ishq hoon talashta, wo dosti hai dhundti,
Mai umar bhar ki taak mai, wo kuch palon ka sochti.
Mai khud mai, khud ko, khud se zayda, usko niharta,
Mai baad ka hoon sochta, sirf aaj ka wo sochti.
Na wo galat, na mai sahi, na wo sahi, na mai galat,
Mai khuda ko usme khojta, wo duniya bhar mai khojti.
Ye kaisi khasmakash hai, jisme hum pd gye,
Agar Dosti he Ishq hai, fir soch kyun ye nochti.
Haan dosti bhi Ishq hai, par Ishq ki koi hadd nahi,
Mai behaddi sa ishq mai, wo hadd mai reh k sochti.
Uljhane ye kaisi hain, Inka bhi koi hal nahi,
Mai Ishq hoon talashta, wo dosti hai dhundti.-
Mitti par
Aur fir Mitti mai,
Toh Fir Garoor kis baat ka ?"
Instagram :- Harshm... read more
Mai Ishq hoon talashta, wo dosti hai dhundti,
Mai umar bhar ki taak mai, wo kuch palon ka sochti.
Mai khud mai, khud ko, khud se zayda, usko niharta,
Mai baad ka hoon sochta, sirf aaj ka wo sochti.
Na wo galat, na mai sahi, na wo sahi, na mai galat,
Mai khuda ko usme khojta, wo duniya bhar mai khojti.
Ye kaisi khasmakash hai, jisme hum pd gye,
Agar Dosti he Ishq hai, fir soch kyun ye nochti.
Haan dosti bhi Ishq hai, par Ishq ki koi hadd nahi,
Mai behaddi sa ishq mai, wo hadd mai reh k sochti.
Uljhane ye kaisi hain, Inka bhi koi hal nahi,
Mai Ishq hoon talashta, wo dosti hai dhundti.
-
Zamane se mehfuz usse nigahoon mai chupaya krte the,
Khaas kitni thi wo, hum usse btaya krte the.
Galti uski hokar bhi, haq uska he ruthna tha,
Hum bhi bde chaav se usse mnaya krte the.
Aur chidna uska, dekh hume kisi aur k saath bethe hue,
Hum bhi jaan-jaan k usse chidaya krte the.
Ab toh bs malal he baaki hai uske mere darmiyan,
Aik waqt thaa hum bhi uske aashiqon mai aaya krte the.
Aur Nye rishte toh nahi bna pa rhe ab talak hum,
Dekh nibha rhe hain woo kasme jo saath khaya krte the.-
Maine khud se bda, khud pe, aik khwab rakh diya,
Usse paane ka hisab, be-hisab rkh diyaa.
Ab puchte hain log mujhe meri mohabbat ka anjaam,
Maine bazm-e-khamoshi mai mera jawab rkh diya.
Kisi ko khabar kya, khwab khaakh kaise hue ?
Maine uski nigahon pe bewafai ka khitab rkh diya.
Aur sher kaise likhe jaate hain sun lijiye,
uski yaadon ko band diibi mai sehahi k saath rkh diya.
Ab thak gya tha ye gum akele baante hue,
Maaf karna , Maine mehfilon mai gumo ka selaab rkh diya.— % &-
Hume gam qubool us khushi se, jo kheraat mai bat rhi hai,
Ye zindagi bhi kya zindagi, jo bina zindagi ke kat rahi hai.
Aur raaste badalne bhi kitne aasan ho gye hain ab,
Yahan toh har gali ab chorahe se lipat rhi hai.
-
Maine khud se bda , khud pe, aik khwab rakh diya,
Usse paane ka hisab, be- hisab rkh diyaa.
Ab puchte hain log mujhe meri mohabbat ka anjaam,
Maine bazm-e-khamoshii mai apna jawab rkh diya.
-
Tu hoti mere naseeb mai toh aaj itne gum na hote,
Hum bhi kaam k rehte Ye jaam k mausam na hote.
Aur yahan jismo k bazar mai hamara kya kaam hai,
Hote iss mizaj ke agar, Toh fir hum- hum na hote.
Waise taaron se kuch khaas shikwa toh naa hume,
agar hote muqaddar mai toh hum bhi kisi se kam na hote.
Aur ye surat, paisa, ameeri hamare bass ki kahan,
Agar sirat pe lgte daav toh Wo kisi aur ke humdum na hote.
Waise achaa hua hum dono mukammal na hue,
Wrna ye "Harsh" alag hota aur ye shayari wairi ke aalam na hote.
-
Kitna sabar ,ab bekhabar ,meri khabar kya
hai tuje ?
Ae Bekadar, mai darbadar tere liye bhatakta rhaa.
Sir jhuka tere liye, meri khabar kya hai tuje ?
Kya hai asar , Kitni kadar, tere liye bhatakta rha.-
Kitna sabar, ab bekhabar , meri khabar kya hai tuje ?
Ae Bekadar, mai darbadar tere liye bhatakta rhaa,
Sir jhuka tere liye, meri khabar kya hai tuje ?
Kya hai asar , Kitni kadar, tere liye bhatakta rha.-
Pehle dost fir aadat fir Chahat ban gayi,
Dhadhke jo dil mai, wo aisi Aahat ban gayi.
Mar chuki thi mere liye wo lekin shabdoon mai aaj bhi zinda hai,
Tabhi toh meri likhi har baat aaj Kahawat ban gyi.
-