Aaj almari saaf kar raha tha, safai karte waqt ek chitthi mili.
Dhul se lipti huyi, thodi der uss chitthi ko ghurta raha main.
Shayad yaad karne ki koshish kar raha tha ki usmein kya likha hai, kisne di hai yeh main janta tha.
Dhul ko saaf kiya maine, mujhe yaad aaya chitthi mein kya likha tha.
Usmein likha tha hum kabhi nhi bichadenge, yeh padhke main phle bhot khush hua karta tha.
Aur aaj ka din hai, yeh chitthi mere hath mein hai.
Meri himmat nahi huyi chitthi kholne ki.
Maine chitthi wapis rakh di.....-
ਰੱਬ ਰਾਖਾ।
Akele bethe udte parindon ko dekhta hun,
Main woh khula aasmaan banna chahunga.
Main tumhari haqiqat toh nahi ban saka,
Magar haan main tumhara khwaab banna chahunga.
Har baar mohabbat adhuri rahi hai meri,
Iss baar tumhari puri mohabbat banna chahunga.
Main iss pinjre mein kaid hi achha hun,
Agar rihaa karoge main fir se aazad banna chahunga.
Galib toh nahi ban sakunga magar haan main gulzar banna chahunga.
-
Saara din masroof (Busy) rehta hoon main,
Saara din masroof rehta hoon main.
Yeh baat aur hai ki main koi kaam hi nahi karta....-
Raat bhar kisi ki yaadon mein jagta hoon ,
Aur dekho main khud ko yun barbad kar deta hoon.
Woh tumhare dil ke kone mein thodi jagah khali hai na,
Haan sahi suna tumne main wahin rehta hoon.
Din toh has ke guzari thi maine,
Magar raat aate hi aankhen bhaari kar leta hoon.
Saari kitabein bhar chuki hai meri,
Main jab bhi udaas hota hoon har jagah tumhara naam likh deta hoon.
Abh iss gham ko mitane ke liye kuchh toh karna padega,
Isliye main thodi si sharab aur bhar deta hoon.
Log puchte hain tumne kya kamaya hai harsh,
Main muskura ke tumpe likhi Ghazal padh deta hoon.
Log likhte hain duniya pe, zindagi pe, Khwab pe, sapno pe, dosti pe haar or jeet pe.
Magar main ek berozgar shayar,
Log likhte hain inn sab chizon pe,
Magar main ek berozgar shayar hoon janab,
Main toh har chiz hi mohabbat kar deta hoon.
- Haरsh Haरिjaन-
Aankhon se aankhen mila kar main tumse jhoot bol jaunga,
Bharosa mat karna mera, main tumhara dil tod jaunga.
Tumhari aarzoo hai yeh kahani puri karne ki,
Itna mat socho main tumhe bich mein hi chorr jaunga.
-
Tanhayion mein kat rahi hai zindagi meri,
Meri shayarian mere pass mein hain.
Tumne toh mujhe chorr diya,
Magar humari kahaniyan mere pass mein hain.
Umar dhalti ja rahi hai din b din,
Kisse woh jawaniyon ke mere mein pass hain.
Tumhe kiss baat ka darr dil tootne ka,
Daro mat, tumhara dil mere pass mein hai.
Kon kehta hai main andhere mein hoon,
Tumhare yadon ke jugnoo mere mein pass hain.
Bhale hi abh baat nhi hoti hai humari,
Tumhare likhe khat abh bhi mere pass mein hain.
Mujhe chorr, pariwar ko chunna tumne,
Abh main yeh jhoot kahu bhi toh kaise kahu ki tumse achhi ladki mere pass mein hai.
Ussne tujhe bhula diya, tu bhi usse bhul ja harsh,
Kab tak jhoot kahega ki abh bhi woh tere pass mein hai.
Jate jate meri woh chiz wapis karte jana
Ha wahi jo mera dil tumhare pass mein hai.
- Haरsh Haरिjaन
-
Tumhare aane ki na koi aas hai na hi koi umeed,
Na jane fir bhi kyun tumhari aas lagaye baitha hun.
Sitaron se tumhara pata puchta hun,
Na jane main kahan khona chahta hun.
Tumhe abhi jee bhar ke dekha kahan hai,
Main tumhe thoda aur dekhna chahta hun.
Na ghar hai, na rehne ka thikana, unhen chorro,
Main tumhare dil mein rehna chahta hun.
Tum raah ho, Tum manzil ho, Tum sath ho toh sahara ho,
Mere dariya ka tum hi toh ek kinnara ho.
Jazbaat kahin dil mein na reh jaye,
Toh aaj yeh sab main kehna chahta hun.
Agar ijazat ho toh main tumse pyar karna chahta hun.
- Haरsh Haरिjaन
-
Yeh dil fir se judne laga hai,
Koi hai jispe yeh dil marne laga hai.
Uske sath baatein karna achha lagta hai,
Uske sath dekha har ek sapna abh sachha lagta hai.
Woh ladki mujhse thoda durr rehti hai,
Isliye raat din yaadon mein rehna achha lagta hai.
Naa jaane kab uss se itna pyar ho gaya,
Par jo bhi hua hai dil ko achha lagta hai.
Uske bina zindagi jeena mushkil lagta hai,
Abh apna yeh rishta pakka lagta hai.
Zara aayna dekh lena jaan woh ladki tum ho,
Aur yeh soch ke mujhe aur bhi achha lagta hai.
- Haरsh Haरिjaन-
Haste haste yeh din nikal jayenge,
Rote rote yeh raat guzar jayenge.
Zara do ghadi pehlu mein toh bethiye sanam,
Hum momm ki tarah aahista - aahista pighal jayenge.
Aap ke liye hum zamaane bhar se toh kya,
Hum toh apne aap se bhi ladd jayenge.
Aur agar kabhi jo tum humse durr ho jaao,
Toh tumhare yadon ke sahare, kya kaha? " Hum jee lenge" Ji nahin hum mar jayenge.
- Haरsh Haरिjaन
-