Harapriya Mohanta   (Harapriya(मिनि_की_नज़्म))
168 Followers · 68 Following

Just trying to heal myself by expressing my feelings.
Joined 7 April 2020


Just trying to heal myself by expressing my feelings.
Joined 7 April 2020
23 JUN AT 23:13

"इंतज़ार की उम्र"

तेरे साथ की चाह में उम्र बीत गई,
हर मौसम तुझे सोचकर ही जी ली गई।

बारिशों में भीगे ख़त से, सर्दियों की चुप्पी तक,
हर लम्हा तुझसे जुड़ता गया, तू फिर भी अजनबी ही रहा।

कुछ महीने तुझे लगे भारी,
मगर मैंने तो बरसों तन्हाई ओढ़ी थी सारी।

थक कर तू रुक गया मोड़ पे कहीं,
मैं तो खुद को हर रोज़ उसी मोड़ पे जीती रही कहीं।

अब शिकवा नहीं तुझसे, न तक़रीर बाकी है,
मैंने वक़्त नहीं, खुद को तुझमें ही खो दिया था शायद।

12 साल कोई इंतज़ार नहीं था,
वो तो मेरी मोहब्बत का सलीका था।

-


19 JUN AT 18:44

हम वो नहीं रहे जो सालों पहले थे,
मासूम ख्वाबों में जो खुद को खो बैठे थे।
अब वक्त ने समझाया, रिश्तों की भी एक हद होती है,
जहाँ खुद को भी पहचान देना ज़रूरी होती है।

अब मैं खुद के लिए जीना चाहती हूँ,
टूटे सपनों की जगह नई उम्मीद बोना चाहती हूँ।
मगर माँ की ममता, परिवार की छांव,
उसके आगे आज भी मेरी हर चाहत हल्की लगती है, हर दाव।

तुमसे अब मोहब्बत की उम्मीद नहीं करती,
क्योंकि तुम उस 'मैं' को चाहते थे जो अब रही नहीं।
अब जो हूँ, वो सच्ची हूँ — थोड़ी टूटी, थोड़ी सधी,
पर शायद तुम्हारी पसंद की नहीं रही।

मुझे फर्क नहीं पड़ता अब कोई मुझे चुने या ठुकरा दे,
क्योंकि मैंने खुद को चुन लिया है —
सबसे पहले नहीं, तो कम से कम अब के लिए।

-


5 JUN AT 17:18

Main chali thi tere saath ek mod tak,
Tujhe khamoshi mein chaha, tere har shabd tak.
Tu ruki nahi, main ruk gayi,
Par tu mere dil se kabhi gaya nahi."

-


1 JUN AT 9:18

"अकेलापन मेरा आसरा"
(Solitude Mera Strength Hai)

भीड़ में भी अक्सर मैं खामोश रहता हूँ,
शब्दों की नहीं, ख्यालों की दुनिया बुनता हूँ।
जहाँ सब दौड़ते हैं साथ चलने को,
मैं अकेले चलने में सुकून ढूँढ़ता हूँ।

I don’t fear silence, I embrace its grace,
In solitude I find my truest place.
हर आवाज़ के परे एक सन्नाटा है,
जो मुझे खुद से मिलने का न्योता देता है।

ना शिकायत, ना कोई गिला होता है,
जब खुद से ही सबसे गहरा रिश्ता होता है।
Solitude कोई कमजोरी नहीं,
ये तो मेरी आत्मा की रचनात्मक रोशनी है।

While the world seeks noise to feel alive,
I close my eyes, and quietly thrive.
कुछ लोग कहते हैं, "तू अकेला क्यों है?"
मैं मुस्कुरा कर कहता हूँ — "यहीं तो मेरा घर है।"

Harapriya (मिनि_की_नज़्म)

-


29 MAY AT 19:54

Trading ka junoon chadh gaya aisa,
Chart dekhte hi bhool gaya paisa.
Buy kiya stock, laga rocket jaisa,
Next din gira woh patakha jaisa! 😅

Indicators bole 'buy', dil bola 'hold',
Stop loss lagaya, phir bhi ho gaya cold.
Profit dikhte hi aaya greed ka attack,
Exit miss kiya, phir gaya full pack! 😓

Mutthi mein sapne, screen pe red,
Trading ne bana diya poet instead! 😂
Par seekh liya ek baat suni suni —
Market mein sabse bada risk hai 'Munni'!

-


29 MAY AT 9:03

Thak gayi hoon main, par rukhi nahi hoon,
Ye aansuon ki boondein mere irade kamzor nahi karti.
Haar aayi hoon kai baar, har dafa thodi aur tooti hoon,
Par har baar, us toot ke bhi, khud se joodi hoon.

Sapne mere ab bhi meri raaton mein bolte hain,
Chahe din bhar unpe andheron ke saaye chalte hain.
Man ke kone mein ek awaaz ab bhi kehti hai,
"Harapriya, tu haar sakti hai, par khatam nahi hoti."

Kabhi kabhi lagta hai, jaise sansaar samajh nahi paata,
Ki muskurahat ke peeche bhi, ek jang chhupi hoti hai.
Par sach toh yeh hai — main jeeti hoon har din,
Jab main subah uthti hoon, thake hue dil ke saath bhi.

Yeh thakan meri kamzori nahi,
Yeh toh meri ladayi ka sabse bada saboot hai.
Main chali hoon akeli, gir gir ke sambhali hoon,
Har haar ke neeche, main ek nayi main paayi hoon.

Toh keh do duniya se —
Thak gayi hoon main, lekin rukhi nahi hoon.
Kal fir uthungi, fir se ladungi,
Main Harapriya hoon…
Naam mein hi jeet ki katha chhupi hai.😀

-


29 MAY AT 8:50

"Thakaan ke paar"

Thake hue kadam hain, sapnon ka bojh sa hai,
Har mod pe haar mili, jeet jaise rooth sa hai.
Subah ki roshni bhi ab andheron mein ghul gayi,
Dil ki wo aas bhi jaise khud se sharmayi.

Aankhon mein neend nahi, par aaram bhi kahan,
Zehar sa ban gaya hai har ek behaal sa pal yahaan.
Muskaan toh hai, par bas ek aadat ban gayi,
Khushi ki asliyat toh kab ki raaton mein kho gayi.

Par ruko zara, thako toh sahi,
Thakaan bhi toh saboot hai, ki tum lade ho kahin.
Jitne wale aksar shor nahi machate,
Wo toh bas chhupke se zakhmon pe marham lagate.

Haar ke peechhe bhi toh ek katha hoti hai,
Jo sirf wohi samajh paata hai, jo akela rota hai.
Aaj thak gaye ho, theek hai…
Par kal fir se uthna, yeh vaada bhi zaroori hai.

Kyunki andheron ka silsila jitna gehra ho,
Ujaalon ki aamad bhi utni hi gehri hoti hai.

-


28 MAY AT 15:48

🌊 "Kark Rashi – Dil Se Likhhi Dastan" 🌙

Chand ke saaye mein pali hai, ek khamosh si kahani,
Muskaan mein chhupi hoti hai, dard bhari ek nishani.

Narm si lagti hai baatein, par jazbaat lohe ke jaise,
Har aansu ka hisaab rakhe, pal pal ke faisle jaise.

Dil deta hai poora, badle mein chahe kuch bhi na aaye,
Woh to khush ho jaata hai, bas kisi apne ke muskaane se hi bhaaye.

Zakhm bhi khud hi saheta hai, marham bhi khud hi banta hai,
Aur jo toot ke girta hai, wahi fir se nikharta hai.

Kabhi samundar sa ghera, kabhi leheron sa bechain,
Par har mod pe rakhta hai, khud pe vishwas ka chain.

Kark hai toh gehra hai, halka kabhi lagta nahi,
Par jise samajh aaye dil ka, usse kabhi bhoolta nahi.

-


28 MAY AT 12:56

"Woh Mahaan Din"

Woh koi aam din nahi tha,
Na hi koi chhutti ka, na tyohaar ka.
Woh to Trading ka Tilak tha —
Jis din maine khud ko “Warren Buffet ki chhoti behen” maan liya tha!

Charts dekhe the, candles jali thi,
Laga tha market meri jeb mein palti hai.
Ek "Buy" dabaya — armaanon se bhara hua...
Aur uske baad mera portfolio bas red wine lagne laga — bina taste ke, sirf chakkar ke!

Profit ka sapna aaya tha dream mein,
Aur reality mein... stop-loss ne thappad maara meme mein.
Aaj bhi TradingView dekhti hoon to
Lagta hai mera paisa waha yoga kar raha hai —
"Balance" mein nahi, "Stretched" position mein!

-


28 MAY AT 10:48

"Khud Se Milaafaat"

Kabhi socha tha, kisi haath ko thaam
Chalegi zindagi, aasaan hoga har kaam.
Par waqt ne dikhayi ek nayi misaal,
Jahan khud ki parchhayi thi bas mera haal.

Main bhool jaati hoon, har mod pe yeh baat,
Ki yahan bachane koi nahi aata raat ke baad.
Na to koi farishta, na koi saathi-e-wafa,
Bas khud ka hausla hi banta hai marham ka safa.

Reng ke hi sahi, par chali hoon main,
Thak ke bhi muskaraayi hoon main.
Kabhi paani sa taherna seekha,
Kabhi aag mein bhi chalna seekha.

Zindagi koi sheher nahi, jahan rehna aasaan ho,
Yeh to jung ka maidan hai, jahan har pal imtihaan ho.
Par ab to samajh aaya, har girne ka ek maqsad hai,
Aur har uthne ka ek naya irada, ek nayi kasam hai.

To chaahe andhera ho ya tufaan ho saamne,
Main hoon — ek roshni, jo bujhti nahi aasan se.
Aage bhi chalungi, khud se ladte hue,
Har kadam mein jeet likhti, aansu pe hanste hue.

-


Fetching Harapriya Mohanta Quotes