Nejaat chahte ho wo dard se jo tune kharida tha
Raza bas ek hi baseera hai wahi bahr-e-fanah mein.-
I write only when I have something in my mind, it's all depends on what I feel.
❌d... read more
Hoge raste aur bhi bas chuna tune wahi.
Jis raste chutte hai hanth or tute hai dil kayi.
Manzil thi teri alag par laya tu mujhe modh par.
Jahan gham diye or tanhayi bhi par phir bhi tu sahi.-
Kimti tha wo shaqs,Jo kimat mang gaya
Mohabbat kay ewaz mein, Jo Judai mang gaya.
Sajde me rakh kay sir, Jane kitne duaen mang gaya.
Hogi duaon me asar, isliye uski ilahi mann gaya.-
Ek muddaton kay baad tera jawab aaya.
Mein ruka hua hu wahi tujhe lagta hai ye khayal aaya.
Jab padha meine jo kuch likha tune.
Afsos itne intezar kay baad bhi akhri salam aaya.-
Zindagi mein jab kabhi mulaqat ab hogi.
Apna kahna chahunga par ghairon si baat hogi.
Khamosh hi khade nazron se apna dard kahenge.
Baat to hogi par apno jaisi koi baat na hogi.-
Mumkin tha ye kahna par aasan na tha.
Jo wakt tere sang tha guzra wo ehsan na tha.
Ki thi mohabbat dono ne ek jaisi hi thi.
Is tarah badla jaise tere liye sahi insaan na tha.-
lafz se bay-an hota hai ehasa mera.
Ashqon kay daawat se har lafz naqash kia hai.
-
Mujhe sharaf hai is tanhayi se sukun milta hai.
Mumkin hai basera mujh jaiso ka virano mein zaroor milta hai.-
Abhi to aaye ho thairo kuch mulaqat to hone do.
Tere sath sab chod Dunga pahle tujhpar atbar to hone do.-
Khud se dur Kar kay tune Kaha mei kisi dusre ka hogaya.
Na sonch kay khush hu mei, pahle pura tha Ab adhura hogaya.-