Thanda chai ka pyala ho rha,
apne hatho se tum pilao to behtar lage
Aaj subeh se in nigahon ne tumhe ji bhar ke dekha nahi,
Bahut udas sa hai ye man aaj,
Tum ek baar nigah bhar ke dekh lo to behtar lage
Dhadak utha hai joro se ye dil,
Tum Hath sine se htao, to behtar lage,
Ye meri nigahen Khoj me tumhari rehti hai bechain aksar,
Tum meri nazaro me hi bas jao to behatar lage,
Ukhadi ukhadi si hai saanse meri aajkal,
Nahi jrurat kisi dawa ki, Tum bas aa jao, to behatar lage,
Yun to nazm, gazale aur shayariya to bahut Banaye hai logo ne,
Inme ho tareef tumhaari, To behtar Lage,
Kyu fir rhe ho tum yha wha muhabbat ki talash me,
Tum is dil me aao, aur yhi reh jao😌
to behatar lage...-
Meri tamam chahato ki eklauti varis si tum,
Is vyast si zindagi me
kuch pal khul ke jeene ki Gujarish si tum,
Bhool ke sari udasiyan
do pal ko muskurane ki Sifarish si tum,
rehta hai har ghadi ab, ek sukoon sa Dil me,
Dil ki sukhi zameen pe, gili barish si tum-
Ek ladki
Masoomiyat ki dukan ek ladki,
Rakhti alag pehchan ek ladki,
Mushkilo se bhare daud me,
Jina karti aasan ek ladki,
Maayusiyon ke Jahan me, sapno ka pura aasman ek ladki,
Pareshani me sukooniyat ki dukan ek ladki,
Hauslon ki nayi udan ek ladki,
Hai Mera dil dhadkan aur Jaan ek ladki
Udasi se bhare chehare pe taza khili muskan ek ladki,
Meri pareshani me khud bhi pareshan ek ladki,
Talash me bhatak rha tha jiske ab Tak mai tanha,
Tha dil mera beghar, mili makan ek ladki-
बात करने के उससे, मै बहाने ढूंढता हूँ।
जो उसके दिल को भाये, वो तराने ढूंढता हूँ।
जाने क्या फ़साना है हमारे बिच,
उसके साथ मैं,
वो मुहब्बत वाले गुजरे जमाने ढूंढता हूं।।-
Wo baatein jo tum chhupate rahe,
Wo baatein jo kha nahi kabhi,
Pta hame bhi hai tumhare dil ka haal kya hai,
Batana chahte ho kabse hame wo baat kya hai,
Izahar e ishq nahi, maun swikriti sa hai,
Ishq do dilo ke bich bari bariki sa hai,
Hai bas ek dor si judi dono ke mano me,
Per har pal hi, hai ye khinchti, ek dusre ko,
Ehsaso ke bandhan me bandhe ho jaise,
Mehsus ek dusre ke halaaton ko kar rhe ho jaise,
Jatane wala na sahi, ek dusre ke dil ki baton ko samjhne wala hai,
Ishq dil ke do kinaro ki bich, nadi sa bahne wala hai,
Ek duje ki kaamyabi pe khush hai,
To uske udas hone pe dil bechain bhi hai,
Alag hoke bhi apna hi ek hissa hai,
Na jane ye kaisa ankaha sa kissa hai,
Kisi ke dil me reh kar, uski dhadkan ki tarah dhadkane wala hai,
Ishq door rehkar bhi sath nibhane wala hai
Izahar e ishq nahi, maun swikriti sa hai,
Ishq do dilo ke bich jara bariki sa hai-
Jaane ye kaisi Prem kahani hai,
Mai uska diwana hu, wo kisi aur ki diwani hai,
Mai uske lie hu anjana, wo mere dil ki raani hai,
Mai pyasa ek Musafir hu, wo behti dariya ka paani hai,
Hai aas use Samandar ki, mai sath me behta kankad hu,
Wo hai tehni aasman ko chhuti, mai bas ek sukha lakkad hu,
Dil hai ek shararati panchi, krta hardam manmaani hai,
Dekh gale lagate use gairo ko, kyu behta aankho se paani hai,
Gulam hai wo apni khwahish ke, to mazboor kuch dil ke ham bhi hai,
Hai manzil ke apne wo karib nahi, to apni chahat se door ham bhi hai,
Jaane ye kaisi prem kahani hai,
Hai hamsafar unka koi aur, aur ham ab bhi safar me hai,
Dil ab bhi us ka diwana hai, aur wo kisi aur ke diwane hai....-
ek-ek karake dil kee har baat rakhane do,
abhee thoda kachcha-sa hai ishk apana,
jara aur pakane do.
ye jo badh rahe hain mel-jol dilon ke beech,
jara baarikee se tum inhen parakhane do,
abhee thoda kachcha-sa hai ishk apana,
jara aur pakane do.
is bechainee ko thoda dil hee mein rahane do,
talab ho jaana yoon kisee cheej ka nahin hota achchha, samajhane do,
abhee thoda bachcha-sa hai ishk apana, ise umar kee aag pe tapane do,
jara aur pakane do.
heer-raanjha, laila-majanoo ke leval kee baaten, jara abhee rahane do,
aisa hoga, vaisa hoga hamaara saath,
ye na abhee hamako tum sapane do,
dil se, dil ko baaten kahane do.
labj in baaton ke lie abhee jara adhoore hai,
in laphjo ka jara dimaag se kanekshan to katane do,
dil kee baat bas, tum aankhon se padhane do,
abhee thoda kachcha-sa hai ishk apana, jara aur pakane do,
ishk hai ik achchha-sa aur sachcha-sa ehasaas,
abhee ye jazbaat hamako samajhane do,
phir dheere-dheere jo tum chaaho,
hamako apanee aankhon mein basane do.
abhee kachcha-sa hai, ishk, apana,
jara, pakane do..🙂-
Is kadavi si zindagi ka badal jata hai jayka,
Apne hatho se jo pila deti hai wo ek pyala chai ka...-
Apni khushiyon me chaahe
tu yaad na kar mujhe,
Apne gam me jarur shareek rakhna,
Mashgul reh chahe dunia ke sang har khushmizaji me,
Per Dil dukhe jab bhi Tera,
to ye ek dost jroor kareeb rakhna..-
नतमस्तक है जिनके आगे हर नर-नारी,
है नीलकंठ जो, महादेव, त्रिपुरारी,
करते सब की पूरी मनोकामनाएं सारी,
ऐसे है अपने शंकर भोला-भंडारी।।-