Un haathon ki mehndi, woh masoom sa chehra, jis pe har waqt ho hijab ka pehra,
saadgi main bayan bhi kya karu uski, jo rehti ho mulawis faqat nekiyon mein, noor si raushan jo ho har ghari mein,
woh hai ik pari jaise motiyon ki ladi, keh ke bhi main jo na keh saku woh hai bas meri lafz aakhri.-
Humne toh bas pyaar hi maanga tha unse apni zindagi ke badle..... read more
Ye jo apni yaadein hain ab tum rakh lo
Zindagi ki daur mein jo main hoon kahin pichhe chhoot gaya
Saari khushiyaan ab tum rakh lo
Jee lena zindagi ab apne hi andaaz me
Jaisa tumhe manzoor ho aur rehti thi tum jiske waqar mein
Bhula diye hain jo waade kiye the tumne
Humare tamaam wafa-e-ishq ke sabooton ke baad
Ek din ro-ogi tum bhi kabhi mere chale jaane ke baad
Na lautunga fir kabhi main is waade ke baad
Saare gham toh de hi chuke ho
Ab baaki nahi kuchh mere paas
Kar do mujhe aazad is bandhan se
Saari khushi tum apne daaman mein bhar lo
Yeh jo apni yaadein hain ab tum rakh lo-
Zindagi bahot khoobsurat si lagti hai
Jab tumhare saath hone ka ehsaas ho
Tumhe paane ki ek aas ho
Har pal behad khaas sa lagta hai
Jab tumhare honto ki muskurahat kaliyon ki tarah khilti hai
Tumhari nazrein jab mujhe hi dekha karti hain
Har gham bhool kar khushiyon ke pal mein kho jaata hoon
Jab tum saath hoti ho, mujhse yun hi baatein karti ho
Zindagi bahot khoobsurat si lagti hai-
Yaad main humesha tujhe teri khusbu se karta hoon
Husn pe nahi teri rooh pe marta hoon
Matt aana tu mere qareeb magar
Suna dena apni aawaz hi sahi
Main aaj bhi tujhse ye ilteja karta hoon kyonki
Tujhse main mohabbat bepanaah karta hoon-
जब से दिल की धड़कन को आवाज़ बनाया है
वो सब सहम जाते हैं
जो कभी अहम मे रहते थे और आँखें दिखाते थे मुझे मेरी मासूमियत पे
देख मुझे अब खुद ही रस्ता बदल जाते हैं
जब से दिल की धड़कन को आवाज़ बनाया है
मैंने लफ्ज़ को आग बनाया है-
Aksar main sawalon mein ghira rahta hoon
Log puchhte hain ki kya tha usme jo tu pagalo ki tarah use yun dhoondta rahta hai
Jise parwah nahi hai teri, chhor kar chali gayi bin kuchh kahe
Bhala koi kahaan aise karta hai
Main kehta hoon, sun lo aye logo
Woh "Chaand" hai use baadalo ne gher rakha hai
Phir hatega badal ka wo kala saya, phirse bikheregi wo chandni mujhpe
Main ban jaunga jheel, woh chamkegi jaise koi roshni mujhpe
Bas isi baat pe adaa rehta hoon
Aksar main sawalon me ghira rehta hoon-
Meri koshish behisab, teri khamoshi lajawab
Tera gussa behisab aur us par mera pyar lajawab
Phir bhi agar tujhe jana hai toh chali ja
Main yun hi baitha rahunga intezaar mein tere
Ki tu ek baar fir wapas chali aa, fir wapas chali aa
-
Ye toh hai us raat ka jadu
Ki main usi pal ke sahare zinda hoon
Main aaj bhi sonchta hoon ki maine bahot mushkil se chhupaye the apne jazbaat
Aur usi baat pe toh sharminda hoon
Dhadkane thi tez aur dil bhi ho raha tha bekabu
Yeh toh hai us raat ka jadu-
Kaisi ho kuchh bol bhi do ab
Narazgi jo bhi hai chhor bhi do ab
Chahe jo mann ho saza de dena
Jo rishta ab kahi bikhra sa lagta hai
Use jod bhi do ab-
मंज़िल की तलाश मे हूं, तेरा पता चाहिये
छू लूंगा मैं भी आस्माँ और कर दूंगा सारे ख्वाब पूरे तेरे,
एक मौक़े की सिफारिश है बस साथ कोई अपना चाहिये
खौफ ज़दा हूं मैं बार बार गिर कर फिर सम्भलने की कोशिश से
आज फिर उठ खड़ा हो जाऊंगा, बस ज़रा हौसला चाहिये-