Main akhir waqt Ada ki hu tum mujhko kaza soch ke krna. Tumhari tarakki mansub hai mujhse jana, Tum bhi mere haq mein dua soch kr krna. Aur agar main gyi toh samjh tera sab Gaya, Inn waqti yaaro ke liye mujhse zafa soch ke krna.
Husn ke bazaar mein, Jazbato ki boli. Kisi ke ansu toh Kisi ki muskurahat ki boli. Yaha jism kya, Log dil se bhi khelte hai. Ab toh insan hi Insaniyat sare aam bechte hai.
Dil ke zakhmo ka na poocho, Yeh toh Waqt ke sath aur gehre hote jate hai. Yeh toh zalim-e-mohabbat ka kasoor hai, Jisme Ansu bhi bs khoon ke katre ki tarah beh jate hai.
Dil dhadakna tumhi ne sikhaya, Pyaar ko lafzo mein zahir krna tumhi ne bataya, Hui iss kadar mohabbat tumse ki tumhe bhula na payee, Sanam Teri yaad mein hum aaj bhi aansu bahaye.