hawao se bate karkre dekho
Bekoff na raho darke dekho
Kar na paye dosti zindagi se
to Unse kaho ki marke dekho-
chikhe yaha koi bhi nhi sunta
Sab log yaha sukun kohjte he
Bhuke mar jate he futpath per
vo ghar me siyasi roti skate he
Jinhe anpi chidiya ki parwah nhi
Wahi zalim fullo ko nochte he
-
bahut saste me bika dil ko ghata gaya
Askho ke khanjar se rato ko kata gaya
Sari deeware bhi fut fut kar roo padi
Jab ek hi ghar kayi hiso me bata gaya-
kam umar jayda tajurbe achi bat nhi
Har bat ko has kar talna padta he
bada karne ki chah or kam tankhwa
Use har bar man ko marna padta he
Dil bada he per ek mas ala ye bhi he
Har kisi ko dil me utarna padta he
-
Gharayi me utar kar dekho
Khamoshi hi waha rahti he
Milge sab ek saf me kahde
Adab tameez jaha rahti he
In roshniyo ne sath choda to
Puche he udasi kaha rahti he
-
khanjar hi kahnjar mile he raho me
Zindagi guzar gayi meri gunaho me
Parwah nhi duniya ke bartaw ki hame
Gam he gir gaye khud ki nigaho me
Sacha pyar to dur talak naraz na aya
Sukun dudhte rahe iski uski baho me
-
Yaro itna bhi kisi se dil na lagao
Ke tut jaye gar to jod bhi na pao
Muskile mili thi to kaha ye mene
Hame sata lo jitna use naa satao
-
Un ko dekh unki ankho me kho gaye
Pahli mulakat me hum unke ho gaye
Laga hame ki ajj khwab me ayege vo
To kuch bhi likha nhi or jaldi so gaye-
Idhar udhar khuda hi khuda nazar ate he
Jhute logo ke liye bhi fariste utar ate he
Me jitani dafa dekhta hu us bude shaks ko
Meri aknho me thode anshu bhar ate he
maa he na baba he tofhe ab kon dega
Ab to hame har bar ache nambar ate he
-
kisi parinde ko ked karke apni himmat dikhana
Jese kisi tahzib wale ko apni buri adat dikhana
Jab bulandiyo par pahuch jao or nam ho jaye
Fir is beraham duniya ko tu apni rangat dikhana-