Hamari galti kya hai malum hai?
Humne 10 sal pehle ek insan ko jaise dekha tha uske liye aj v wahi chavi dimag mein baitha dete hai, chahe wo insan badalhi kyu na gaya ho!
School k dinomein , jo ladka khush mizaz sa, lafangaa sa rehta tha, zaroori nahi ki wo aj v lafangaa hi reh gaya ho!
Jab pariwaar ki zimedari kandhoo par aur kismat ka tamachaa galoo par jor se padhta hai na, acche accho ko v zimmedaar bana hi deta hai!
Wo ladki jo hardin sacche pyar ki talash mein dhokhaa hi khati ho, zaroori nahi ki wo aj v 'boyfriend toh aise badalti hai, jaise ki koe kapdee v nahi badal ta' title mein hi atki ho!
Zaroori nahi ki jo insaan kal tak hartaa tha wo aj v harahuwaa hi ho..
Yeh v zaaroori nahi, ki jo insaan kal tak har kadam mein jeet ta aya hai, wo aaj v jeet ta hi aya ho!
Zindagi hai, haar- jeet, utar-chadaw toh chalte hi rehte hai..
Par ..kaltak wo jo v tha, zaroori nahi ki aj v wo waisa hi ho!
-